Haye Zainab Ki Yateemi Ka Zamana Aa Gaya Umair Kazmi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ہائے زینبؑ کی یتیمی کا زمانہ آ گیا
Khon Mein Doba Howa Masjid Se Baba Aa Gaya.
Ghurbat-e-Haider Ki Tab Se Ibtida Thi Ho Gayi.
Samne Unn Ke Jo Bint-e-Mustafa Zakhmi Hoi.
Jab Dar-e-Zahra Jalanay Ko Tha Majma Aa Gaya.
Hichkiyaan Le Kar Kiya Zahra Ne Khud Se Yeh Kalam.
Ab Mere Wali Ko Koi Bhi Nahi Karta Salam.
Had Hai Meri Zindagi Mein Hi Yeh Moqa Aa Gaya.
Jane Shabbar Ke Musayab Kyun Alag Se Ho Gaye.
Baap Ko Rasi Mein Dekha Maa Ko Jaltay Dar Talay.
Tab Se Maula Mujtaba Ko Sabar Karna Aa Gaya.
Zakhm Khaya Tha Ali Ne Par Na Tha Zarbat Ka Dukh.
Yaad Kar Kar Ke Woh Rotay They Faqat Itrat Ka Dukh.
Be Rida Zainab Ka Chehra Soch Mein Tha Aa Gaya.
Madar-e-Abbas Ka Tha Kapkapi Mein Youn Badan.
Kyun Mere Ghazi Ke Hathoon Ko Nahi Letey Hasan.
Main Tu Samjhi Thi Pisar Ko Haq Nibhana Aa Gaya.
Bolay Haider Kuch Nahi Bolo Meri Tasveer Ko.
Hath Ghazi Ka Liya Phir De Diya Shabeer Ko.
Youn Laga Tab Se Hi Hathoon Ko Katana Aa Gaya.
Hazrat-e-Shabeer Baba Ko Kafan Jab De Chukay.
Ghusal Detey Waqt Abid Bhi Wahin Par They Kharey.
Soch Mein Sajjad Ki Baba Ka Lasha Aa Gaya.
Sabar Aata Hai :RAZA: Ghazi Ka Kofay Mein Nazar.
Baap Ke Qatil Ke Aagay Apna Gusa Rook Kar.
Khud Se Bolay Zindagi Mein Kyun Yeh Lamha Aa Gaya.
Poet: :Mohsin Raza:
Noha Khowan: :Syed Umair Kazmi:
Noha Volume: :Syed Umair Kazmi 2020-21:
Composition: :Syed Umair Kazmi:
#HayeZainabKiYateemiKaZamanaAaGaya
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com