Tera Darbar Ya Allah Lyrics In Urdu Shahid Baltistani 2020
Tera Darbar Ya Allah Lyrics In Urdu Shahid Baltistani
Yaad Aata Hai Tera Darbar, Tera Darbar Ya Allah.
Door Se Kab Tak Main Dekhon Khana-e-Kaba.
Ab Nahi Mujh Se Raha Jata Mere Maula.
Raat Din Aankhon Mein Bas Yeh Khuwab Rehta Hai.
Lab Pe Hai Allahuma Labaik Ka Narah.
Bandh Kar Meeqaat Se Aehram Aaon Ga.
Khana-e-Kaba Ke Phir Chakar Lagaon Ga.
Hajar-e-Aswad Chom Loon Ga Apni Nazron Se.
Hajj Pe Yeh Arman Sare Le Ke Jaon Ga.
Sorah-e-Hajj Parh Liya Quran Mein Maula.
Hai Safa Marwa Mere Osan Mein Maula.
Jism Tu Mera Yahan Par Reh Gaya Lekin.
Rooh Hai Arfat Ke Maidan Mein Maula.
Aye Khuda Ashiq Hoon Main Rukan-e-Yamani Ka.
Aab-e-Kausar Ki Tarha Zam Zam Ka Hoon Pyasa.
Aayatein Makkay Mein Hain Phaili Hoin Teri.
Dil Minna Par Hai Mera Qurban Aye Maula.
Aankh Ne Mahool Janat Ka Nahi Dekha.
Gar Tere Mehboob Ka Roza Nahi Dekha.
Sari Dunya Dekh Kar Bhi Aisa Lagta Hai.
Kuch Nahi Dekha Agar Kaba Nahi Dekha.
Apne Bandon Se Agar Naraz Hai Malik.
Panjtan Ka Wasta Razi Ho Aye Malik.
Tu Agar Chahe Tu Ho Aasan Har Mushkil.
Rastay Hum Par Safar Ke Khol De Malik.
Hai :TAKALLUM: Muslimo Ko Dars Yeh Hajj Ka.
Sab Ka Andaz-e-Ibadat Aik Hi Jaisa.
Mutahid Ho Jao Ab Tu Aye Musalmano.
Masjidein Sab Ki Alag Hain Aik Hai Kaba.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Shahid Baltistani:
Composition: :Shahid Baltistani:
Hajj 2020 1441 Hijri
#ManqabatLyrics
#tajpoint