Akbar Ne Kaha Ro Kar Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2008
Akbar Ne Kaha Ro Kar Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir
Shabeeh-e-Imam-e-Zamaan Khainchtay Hain.
Tasawar Mein Tasveer-e-Jaan Khainchtay Hain.
Kaha Ro Ke Akbar Ne Aye Dard Tham Ja.
Keh Seene Se Baba Sina Khainchtay Hain.
Akbar Ne Kaha Ro Kar Aye Dard Zara Tham Ja.
Baba Mere Seene Se Sina Khainch Rahe Hain.
Aye Behtay Lahu Ruk Ja Hai Wasta Sughra Ka.
Baba Mere Seene Se Sina Khainch Rahe Hain.
Pati Mere Baba Ne Aankhon Pe Nahi Bandhi.
Di Hai Khulay Hathoon Se Ran Mein Meri Qurbani.
Aye Dada Khalil Aao Hai Waqt Qayamat Ka.
Yasrab Ki Taraf Aankhein Har Dam Meri Rehti Hain.
Ab Waqt Bohat Kam Hai Sansein Bhi Ulajhti Hain.
Qasid Meri Sughra Ke Jaldi Se Zara Aa Ja.
Akbar Ki Guzarish Hai Lillah Na Rad Karna.
Jab Aap Ka Shewah Hai Dunya Ki Madad Karna.
Baba Ki Madad Karne Aa Jaiye Aye Dada.
Dekha Nahi Jaye Ga Aankhon Se Kabhi Meri.
Tarpon Ga Agar Main Tu Takleef Unhein Ho Gi.
Ulfat Ka Taqaza Hai Larzay Na Badan Mera.
Arman Jo Dil Mein Hai Dil Mein Hi Na Dafna De.
Aisa Na Ho Zainab Ko Ja Kar Koi Batla De.
Pyari Phophi Amma Se Bardasht Na Yeh Ho Ga.
Marne Ka Nahi Hai Gham, Gham Hai Tu Bas Itna Hai.
Darwazay Pe Muddat Se Bethi Hoi Sughra Hai.
Sun Kar Yeh Khabar Shayad Mar Jaye Gi Woh Dukhiya.
Kehta Tha :TAKALLUM: Woh Himmat Jo Meri Hoti.
Khud Apne Hi Hathoon Se Main Khainchta Yeh Barchi.
Takleef Nahi Apni Hai Dard Mujhe Oss Ka.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2008-09:
#NohayLyrics
#tajpoint
Shehzada Ali Akbar Noha Akbar Ne Kaha Ro Kar Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir