Zikar Haider Ka Sunane Mein Maza Aata Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ذکر حیدرؑ کا سُنانے مِیں مزا آتا ہے
Dil Munafiq Ka Jalanay Mein Maza Aata Hai.
Kaha Meesum Ne Faqat Zikar-e-Ali Hota Rahe.
Phir Zabaan Apni Katanay Mein Maza Aata Hai.
Saqiya Hum Ko May Hub-e-Ali Deta Ja.
Keh Humein Peenay Pilaney Mein Maza Aata Hai.
Raaz Mairaj Ka Dunya Ne Chupaya Lekin.
Hum Ko Yeh Raaz Bataney Mein Maza Aata Hai.
Woh Jo Maidan Se Bhagay They Bana Kar Janein.
Unn Ke Halaat Bataney Mein Maza Aata Hai.
Sun Ke Haider Ke Fazail Jo Bigarey Chehray.
Aisay Shaitaan Ko Tapanay Mein Maza Aata Hai.
Shajrey Khul Jate Hain Sarkar Bhari Mehfil Mein.
Narah Haider Ka Lagane Mein Maza Aata Hai.
Aye :RAZA: Ishq Ke Sajday Ki Yeh Hi Tozee Hai.
Sar Dar-e-Sheh Pe Jhukanay Mein Maza Aata Hai.
Poet: :Raza Shah:
Manqabat Khuwan: :Danish Ali:
Manqabat Volume: :Danish Ali 2020-21:
Composition: :Abid Ali:
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com