Al Ajal Zeeast Ka Ab Rakht e Safar Hai Lyrics 2017
Al Ajal Zeeast Ka Ab Rakht e Safar Hai Maula.
Tere Bin Kaisay Jeein Tujh Ko Khabar Hai Maula.
Al-Ajal Kehte Hoye Soye Haram Taktay Hain.
Muntazir Tere Teri Rah Pe Nazar Rakhtay Hain.
Tere Kabay Ki Magar Tujh Pe Nazar Hai Maula.
Aisay Dhundlaye Ujalay Teri Ghaibat Ke Sabab.
Roshni Ke Na Mani Hain Na Mafhoom Hai Ab.
Koi Soraj Na Sitara Na Qamar Hai Maula.
Kayi Sadiyon Se Tilawat Hai Musalsal Jari.
Phir Bhi Har Raz-e-Elahi Pe Khamoshi Tari.
Aayaton Par Teri Ghaibat Ka Asar Hai Maula.
Hum Faqeeron Ka Tawangar Hai Kahan Pochtay Hain.
Pochne Walay Jo Ghaibat Ka Makaan Pochtay Hain.
Hum Yeh Kehte Hain Jidhar Rab Hai Udhar Hai Maula.
Dehar Pe Matam-e-Shabeer Se Inkari Hai.
Phir Bhi Barood Ki Khushbo Mein Azza Jari Hai.
Unn Azadaron Ko Kab Maut Ka Dar Hai Maula.
Al-Ajal Oss Ka Wazeefa Hai Kayi Sadiyon Se.
Aasmano Pe Tarapta Hai Woh Sajday Ke Liye.
Muntazir Aap Ka Mariyam Ka Pisar Hai Maula.
Qabar Mein Bhi Jo Sunein ALLAH Akbar :AKBAR:.
Khak Se Uthay Woh Labaik Ka Kalma Parh Kar.
Jaisay Salman Ko Bakhsha Yeh Hunar Hai Maula.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Danish Ali:
Manqabat Volume: :Danish Ali 2017-18:
Composition: :Abid Ali:
#ManqabatLyrics
#tajpoint