Haq Mera Bhool Gaye Ahl-e-Madina Lyrics In Urdu 2020
Haq Mera Bhool Gaye Ahl-e-Madina Lyrics
Kab Raha Hai Yeh Madina Mera Dushwar Hai Jeena Main Na Reh Paon Gi Zindah.
Sainkron Loag They Jis Waqt Main Darbar Gayi Par Teri Beti Ki Tazeem Ko Utha Na Koi
Tera Farman Bhula Ke Kar Ke Tehreer Ke Tukray Teri Zahra Ko Nikala.
Main Ne Darbar-e-Khilafat Mein Yeh Manzar Dekhay Apni Zainab Pe Barastay Hoye Pathar Dekhey.
Tukray Lashon Ke Uthaye Be Rida Sham Mein Haye Umm-e-Kulsoom Ko Dekha.
Iss Tarha Aaye Musalmaan Mujhe Pursa Pasliyaan Toot Chukin Hath Bhi Zakhmi Hain Mere.
Sham-e- Ghurbat Ka Sama Hai Rasan Aag Dhuwaan Hai Our Hai Baiat Ka Taqaza.
Seh Na Payi Thi Abhi Zakhm-e-Yateemi Zahra Le Ke Darbar Se Aayi Hai Zaeefi Zahra.
Roz Detey Hain Niya Gham Lo Khabar Rehmat-e-Alam Sun Lo Faryad Khudara.
Jane Kiya Hai Mere Roney Se Shikayat Inn Ko Apne Ghar Mein Nahi Roney Ki Ijazat Mujh Ko.
Aa Ke Kehte Hain Ali Se Gham Na Har Waqt Manaye Roye Ik Waqt Mein Zahra.
Cheen Li Ahl-e-Saqeefa Ne Nishani Teri Had Yeh Hai Logon Ne Tehreer Na Mani Teri.
Yeh Samajhte Hi Nahi Hain Kiya Kabhi Bhool Saki Hain Betiyaan Baap Ka Tohfa.
Ik Laeen Hans Ke Yeh Darbar Mein Bola Zahra Anbiya Ka Koi Wirsa Nahi Hota Zahra.
Qehqay Sunti Rahi Hoon Our Sand Chunti Rahi Hoon Le Ke Fizza Ka Sahara.
Dard :MUHSIN: Yeh Moarikh Ke Qalam Ne Hai Likha Ruk Gaya Sab Ka Pa Qunfuz Ka Wazifa.
Taziyano Ka Sila Hai Oss Ko Inam Mila Hai Jis Ne Zahra Ko Rulaya.
Poet and Composition: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Fatemah Ladak:
#AyyamEFatimiya
#NohayLyrics
#tajpoint