Parwarish Lyrics In Urdu and Roman Urdu
پرورش
Tum Apne Bachoon Ko Majlis Mein Sath Latay Raho.
Yehi Charag Jalein Gaye Tu Roshni Ho Gi.
Sikhana Bachoon Ko Karna Yeh Majlis-o-Matam.
Dilon Mein Unn Ke Basa Do Youn Karbala Ka Gham.
Azza Ki Fikar Unhein Dil Se Har Ghari Ho Gi.
Aik :SALMAN: Tha Shayar Tha Shayari Ka Husan.
Kalam Oss Ne Likhe Aisay Jaisay Zafar-e-Jin.
Yaqeen Hai Khuld Mein Aala Jagah Mili Ho Gi.
Batana Bachoon Ko Paigham Karbala Kiya Hai.
Namaz Chor Do Matam Ki Phir Jaza Kiya Hai.
Azza Ke Sath Hamesha Namaz Bhi Ho Gi.
Badaltay Mosam-o-Halaat Se Na Ghabrana.
Ho Chahe Khatrah Majalis Mein Lazmi Jana.
Ali Ke Hath Mein Phir Teri Zamani Ho Gi.
Haan Waldain Ne :BAQAR: Youn Parwarish Kar Di.
Lahu Mein Mere Azadari Iss Tarha Bhar Di.
Yeh Baat Kehte Hoye Ab Mujhe Khushi Ho Gi.
Mein Namazi Bhi Hoon Matami Bhi.
Iss Liye Jab Mein Paida Howa Tha.
Baad Azaan Our Aqamat Ke Mujh Ko Noha Khuwani Ki Aawaz Aayi.
Mujh Ko Maa Ne Sikhaya Hai Matam.
Baap Ne Noha Khuwani Sikhayi.
Pursa Dari Hai Mere Lahu Mein.
Mere Dil Mein Hai Zainab Ka Bhai.
Poet: :Baqar Hussain:
Soz: :Own Rizvi:
Nohakhuwan: :Baqar Hussain:
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com