Al Madad Mustafa Naat Mohsin Naqvi Lyrics In Urdu
المدد مصطفیؐ، المدد مصطفیؐ
Jal Rahe Hain Badan Dard Ki Dhop Mein.
Zindagi Dhal Gayi Zakhm Ke Roop Mein.
Dil Mein Kuhram Hai, Teergi Aam Hai.
Ik Nigah-e-Karam Aye Habib-e-Khuda.
Har Nafas Khoon Ugalney Laga Hai Bashar.
Ab Tu Mitnay Laga Farq-e-Sham-o-Sahar.
Aankh Majboor Hai, Rahguzar Door Hai.
Be Khabar Hai Nazar, Be Asar Hai Dua.
Jaur e Fasl-e-Khizaan Hai Chaman Ta Chaman.
Zair-e-Dast-e-Ajal, Zindagi Ki Kiran.
Az Karan Ta Karaan, Bas Dhuwaan Hi Dhuwaan.
Uz Ufaq Ta Ufaq Ranj-o-Gham Ki Ghata.
Loag Youn Mehw Hain Fikar-e-Dastar Mein.
Jaisay Khami Na Koi Kirdar Mein.
Aasmaan Zard Hai, Gard Hi Gard Hai.
Aadmiyat Hai Masroof-e-Aah-o-Boka.
Aman e Insaniyat Phir Se Mafqood Hai.
Fikar Ka Aaina Zang Aalod Hai.
Jism Se Rooh Tak, Same-o-Zar Ki Dhanak.
Chak Dar Chak Hai Ahl-e-Dil Ki Qaba.
Phir Se Oham Dil Ko Hain Ghairay Hoye.
Shehar Walon Ke Jangal Baseray Hoye.
Tere Dar Youzah Gar, Dar Badar, Dar Badar.
Kaun Zindah Karey Rasam-e-Jood-o-Atta?.
Kafiron Ka Sitam Phir Tere Deen Par?.
Zulm Ke Saye Arz-e-Falasteen Par.
Sar Zameen-e-Ajam, Waqf e Ranj-o-Alam.
Khon Se Gulbadan Khita e Nainwa?.
Khuwab-e-Manzil Mein Kyun Qafilay So Gaye?.
Tere Miqdad-o-Meesum Kahan Kho Gaye.
Kya Hoye Woh Jari, Faqar Ke Johari.
Muzmahil Hain Rutein, Matami Hai Fiza.
Phir Gudaz e Abuzar Atta Kar Humein.
Misal-e-Salman Sholah Nawa Kar Humein.
Dard Ki Raat Mein, Gham Ki Barsat Mein.
Hum Faqeeron Ko Bhi Muskurana Sikha.
Tu Hai Sultan-e-Jageer-e-Shams-o-Qamar.
Tu Hai Shehzada e Wosat-e-Behar-o-Bar.
Aye Hakeem e Arab, Tu Hai Quraan Ba Lab.
Maqsad-e-Amar-e-Kun, Waris-e-Hal Atta.
Poet: :Mohsin Naqvi Shaheed:
#AlMadadMustafa
#NaatLyrics
#tajpoint