Zulm Sehti Hai Woh Baba Ke Gham Mein Rone Par Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ظلم سہتی ہے وہ باباؑ کے غم میں رونے پر
Shimar Se Khaye Tamachay Hain Buka Karne Par.
Apne Haq Par Bhi Nahi Roi Hain Itna Zahra.
Jitna Roi Hain Sakina Ke Gohar Chinne Par.
Itna Dekha Hai Laho Iss Ne Sar-e-Dasht-e-Bala.
Ab Woh Ghabrati Nahi Kan Se Khoon Behne Par.
Sar-e-Shabir Giraya Gaya Naizay Se Kahan?
Hai Gira Bali Sakina Yeh Tere Girne Par.
Meri Gardan Se Yeh Rasi Tu Utaro Abid.
Ab Gala Dukhne Laga Sans Talak Lene Par.
Hum They Paband-e-Rasan Our Tamashai Wahan.
Sang Bari Hoi Bazar Se Guzarne Par.
Qaid Khane Se Musalsal Yeh Siskiyaan Sun Kar.
Maut Ghabrai Yateema Ke Youn Tarapne Par.
Darmiyaan Lashoon Ke Zainab Ne Yeh Manzar Dekha.
Aik Bachi Hai Rakhe Sar Ko Katay Seene Par.
Phir Na :QASIM: Sar-e-Zindan-e-Sitam Woh Bolin.
Aise Khamosh Hoin Baap Ka Sar Milne Par.
Poet: :Qasim Ali Qasim:
Noha Khuwaan: :Syed Ali
Mehdi,Anjuman-e-Parcham-e-Abbas:
Mehdi,Anjuman-e-Parcham-e-Abbas:
Noha Volume: :Syed Ali Mehdi 2019-20:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com