Rone Walo Shehar Madine Mein Aik Aisa Bhi Waqt Aya Hai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
رونے والو شہر مدینے مِیں ایک ایسا بھی وقت آیا ہے
Kalma Goyoun Ne Kalma Walon Ko Bahre Darbar Mein Rolaya Hai.
Hai Muqadma Rasool Zadi Ka Bahre Darbar Mein Woh Ayi Hai.
Jin Pe Allah Nabi Darood Parhe Aise Farzand Sath Layi Hai.
Gasban-e-Fidak Ne Phir Kaise Unn Gawahoon Ka Dill Dukhaya Hai.
Masnad-e-Mustafa Pe Ghasib Hai Samne Mustafa Ki Beti Hai.
Mera Haq De Do Aye Musalmano Ro Ke Khair-ul-Nisa Ye Kehti Hai.
Mere Baba Ke Baad Kyun Tum Ne Fatima Pe Yeh Zulm Dhaya Hai.
Bola Be Zarf Aye Nabi Zadi Tere Haq Tu Main Janta Hi Nahi.
Jo Likhi Thi Tumhare Baba Ne Main Wo Tehreer Manta Hi Nahi.
Chaak Kar De Sanad Muhmmad Ki Kehka Zoor Se Lagaya Hai.
Qabar-e-Ahmad Pe Je Ke Kehne Lagin Fatima Ko Naheef Kar Dala.
Dekho Baba Tumhari Umat Ne Kitna Mujh Ko Zaeef Kar Dala.
Mera Mohsin Shaheed Kar Dala Mere Pehlu Pe Dar Giraya Hai.
Fatima Syeda Ko Baba Ki Gar Virasat Pe Ikhtiyar Nahi.
Phir Wo Orat Nabi Ke Hujray Ki Aye Musalmano Virsa Daar Nahi.
Jiss Ne Maula Hassan Ki Maiyat Pe Teer Khud Hathon Se Khud Chalaya Hai.
Gham-e-Aal-e-Aaba Mein Rehta Hai Zikar-e-Shabir Aam Karta Hai.
Matami Tu :TAUQEER: Nohon Mein Iss Liye Bhi Salam Karta Hai.
Iss Ne Bibi Batool Ke Gham Mein Dill Ko Bait-ul-Huzan Banaya Hai.
Poet: :Tauqeer Kamalvi:
Noha Khowan: :Nasir Asghar Party:
Noha Volume: :Nasir Asghar Party 2007-08:
Ayyam-e-Fatima Noha 2007-08
#RoneWaloSheharMadineMein
#NohayLyrics
#tajpoint