Sakina Yeh Kehti Rahi Raat Bhar Phophi Lyrics 2008
Sakina Yeh Kehti Rahi Raat Bhar Phophi Mujh Se Pehra Badal Lijiye.
Hai Ummul Masayab Laqab Aap Ka Tu Main Bint-e-Mazloom-e-Karb-o-Bala.
Tamachay Lagay Mera Daman Jala Magar Dil Ko Gham Hai Tu Iss Baat Ka.
Kayi Rooz Se Aap Soi Nahi Keh Baba Ko Jee Bhar Ke Roi Nahi.
Sakina Yeh Kehti Rahi Raat Bhar Phophi Mujh Se Pehra Badal Lijiye.
Zara Dair Ghazi Mujhe Maan Kar Phophi Mujh Se Pehra Badal Lijiye.
Batatay They Dadi Ki Batein Mujhe Sunatay They Baba Bare Pyar Se.
Magar Chand Lamhoon Ke Iss Waqt Mein Mujhe Ran Mein Itne Tamachay Lagay.
Keh Ab Shamiyon Ka Nahi Koi Dar Phophi Mujh Se Pehra Badal Lijiye.
Najaf Ki Taraf Dekhiye Tu Zara Yeh Tapoon Ki Aati Hai Kaisi Sada.
Bhala Kis Tarha Samne Jaein Gi Phophi Aap Ki Chin Gayi Hai Rida.
Woh Dekhein Koi Aa Raha Hai Idhar Phophi Mujh Se Pehra Badal Lijiye.
Koi Teer Chup Kar Chala Dey Kahin Phophi Zalimo Ka Bharosa Nahi.
Qasam Kha Ke Kehti Hoon Be-Sheer Ki Main Gardan Pe Rokongi Teer-e-Laeen.
Keh Ab Aa Gaya Hai Mujhe Yeh Hunar Phophi Mujh Se Pehra Badal Lijiye.
Main Karti Hoon Pehray Ki Zid Iss Liye Sina Par Shaheedon Ke Sar Hain Rakhe.
Zara Dair Ko Door Se Hi Sahi Nazar Aa Hi Jaeingay Baba Mujhe.
Nagahoon Se Chomon Gi Baba Ka Sar Phophi Mujh Se Pehra Badal Lijiye.
Yeh :AKBAR: Guzarish Thi Masoom Ki Meri Kamsini Ko Na Dekhein Phophi.
Abhi Apne Bhai Ko Ro Lijiye Humein Kal Se Mohlat Na Dein Gaye Shaqi.
Qareeb Aane Wala Hai Waqt-e-Sahar Phophi Mujh Se Pehra Badal Lijiye.
Poet: :Hasnain AKbar:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2008-09: