Aaye Hasan Jahan Mein Har Samat Roshni Hai Lyrics in Urdu and Roman Urdu
آئے حسنؑ جہاں میں ہر سَمت روشنی ہے
Dunya Tu Aaj Sari Ik Khuld Si Bani Hai.
Hai Qabal Az Nazool-e-Quran In Ki Aamad.
Tarteeb-e-Mah-e-Ramzaan Iss Tarha Se Chali Hai.
ALLAH Ki Taraf Se Tohfa Hai Syeda Ko.
Shabar Ki Jo Wiladat Zahra Ke Ghar Hoi Hai.
Aaye Hain Bheek Lene Sare Malak Wahin Par.
Zahra Jahan Pisar Ka Jhola Jhula Rahi Hai.
Jab Mah-e-Fatima Ko Mah-e-Falak Ne Dekha.
Chanda Ki Chandni Bhi Bas Maand Par Gayi Hai.
Chehra Tu Ho Baho Hai Iss Ka Rasool Jaisa.
Iss Ki Kalai Mula Haider Se Mil Rahi Hai.
Aagosh-e-Fatima Mein Soya Hasan Hai Aise.
Quran Hai Hasan Our Zahra Rehel Bani Hai.
Hain Chomte Muqarar Chehra Hasan Sakhi Ka.
Pyare Nabi Ki Khatir Kitni Bari Khushi Hai.
:AFRAZ: Ne Hai Paya Husan-e-Hasan Ka Sadqa.
Kehte Hain Log Sun Kar Kya Khob Shayari Hai.
Poet: :Afraz Jafri:
#Manqabat #ImamHasan
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com