Main Pardah-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hoon Lyrics in Urdu and Roman Urdu
میں پردہءغیبت سے سماں دیکھ رہا ہوں
Imam Barda-e-Ghaibat Se De Rahe Hain Sada Anna Ibn Zahra.
Nazar Mein Rehti Hai Har Waqt Mere Karb-o-Bala Anna Ibn Zahra.
Main Pardah-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hoon.
Sajjad Ke Khaimon Ka Dhowaan Dekh Raha Hoon.
Zainab Chalein Jis Aag Mein Abid Ko Bachane.
Oss Aag Mein Pairon Ke Nishaan Dekh Raha Hoon.
Jis Sar Pe Saja Karti Thi Dastar-e-Muhammad.
Oss Sar Ko Sar-e-Nook-e-Sinaa Dekh Raha Hoon.
Bas Teer Hai Chalne Ko Ab Asghar Ke Galay Par.
Zalim Ki Main Kham Gah Kamaan Dekh Raha Hoon.
Jis Rukh Ke Liye Karte They Bosay Sheh-e-Wala.
Oss Rukh Pe Tamachoon Ke Nishaan Dekh Raha Hoon.
Maqtal Mein Kahan Sani-e-Zahra Ki Rida Hai.
Abbas Ke Bazu Hain Kahan Dekh Raha Hoon.
Aaye Na Watan Laut Ke Phir Aoun-o-Muhammad.
Ujra Howa Zainab Ka Makaan Dekh Raha Hoon.
Maa Baap Behan Bhai Phophi Our Aaizza.
Ik Teer Mein Kitno Ki Main Jaan Dekh Raha Hoon.
:GOHAR: Hai Jahan Dafan Saqifa Ki Shaheeda.
Oss Qabar Ko Be-Naam-o-Nishaan Dekh Raha Hoon.
Poet: :Hussain Gohar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2007-08: