ٹ کریں -->

Kijiye Iss Ko Qabool Aaqa Dar-e-Abbas Par Lyrics Urdu 2017

Kijiye Iss Ko Qabool Aaqa Dar-e-Abbas Par Lyrics Urdu 2017

Kijiye Iss Ko Qabool Aaqa Dar-e-Abbas Par.

Kar Raha Hoon Main Jo Sajda Dar-e-Abbas Par.

Kyun Na Aa Jaye Bhala Kaba Dar-e-Abbas Par.
Jashan Hai Ghazi Ke Baba Ka Dar-e-Abbas Par.

-->

Dekh Kar Mujh Ko Sar-e-Mimbar Yahan Bole Malak.
Aa Gaya Abbas Ka Banda Dar-e-Abbas Par.

Sab Tu Kabay Ki Taraf Jate Hain Hajj Ke Wastay.
Hajj Adda Kata Hai Khud Kaba Dar-e-Abbas Par.

Kaise Hoon Gaye Khuld Ke Raston Se Waqif Aap Sab.
Aana Jana Agar Nahi Ho Ga Dar-e-Abbas Par.

Jaise Rukte They Muhammad Dekh Kar Zahra Ka Dar.
Har Nabi Waise Hi Hai Rukta Dar-e-Abbas Par.

Khush Ghaadeer-e-Khum Mein They Salman-o-Abuzar Jis Tarha.
Aise Khush Hai Har Ali Wala Dar-e-Abbas Par.

Oss Ko Khud Abbas Dein Gaye Izn-e-Deedar-e-Najaf.
Aaj Jo Narah Lagaye Ga Dar-e-Abbas Par.

Jashan Shohar Ki Wilayat Ka Manane Ke Liye.
Aayi Hain Firdos Se Zahra Dar-e-Abbas Par.

Kaise Aa Jati Dar-e-Abbas Par Lene Mujhe.
Maut Ko Bhi Maut Ka Dar Tha Dar-e-Abbas Par.

Woh Dar-e-Abbas Tha Yaan Yeh Zameen-e-Toor Hai.
Soch Mein Hain Hazrat-e-Musa Dar-e-Abbas Par.

Mujh Se Ik Darweish Ne Yeh Khuwab Mein Aa Kar Kaha.
Zinda Rehna Hai Tu Ja Mar Ja Dar-e-Abbas Par.

Tere Fatwon Se Bhala Main Rukne Wala Hoon Kahan.
Dekh Mera Sar Hai Aye Mulla Dar-e-Abbas Par.

Fakhar Se Sar Arsh Se Takrane Lagta Hai Mera.
Jab Bhi Jhukta Hai Mera Bacha Dar-e-Abbas Par.

Rab-e-Kaba Ki Qasam Le Aao Tu Ho Jaye Ga.
Maut Ka Bemar Bhi Acha Dar-e-Abbas Par.

Poet: ::
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:

Kijiye Iss Ko Qabool Aaqa Dar-e-Abbas Par Lyrics Urdu 2017 Write Up Poster Image

Kijiye Iss Ko Qabool Aaqa Dar-e-Abbas Par Lyrics Urdu 2017

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!