Na Kar Qabool Madine Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2013
Na Kar Qabool Madine Mir Hasan Mir
Mat Kar Humein Qabool Aye Nana Ke Madine.
Madina Aa Gaya Jab Yeh Sada Obharne Lagi.
Yeh Pusht-e-Naqa Se Kulsoom Bain Karne Lagi.
Luta Ke Aaye Hain Zahra Ke Hum Gharanay Ko.
Na Kar Qabool Madine Hamarey Aane Ko.
Bataein Kaisay Jo Hum Par Guzar Gaya Mehshar.
Sar-e-Hussain Tarapta Tha Nook-e-Naiza Par.
Har Aik Shehar Mein Marey Gaye Humein Pathar.
Hamarey Chehron Ki Janib Thi Shamiyon Ki Nazar.
Na Hath Bhi They Yeh Aazad Munh Chupaney Ko.
Bichar Ke Apni Behan Se Dobarah Mil Na Saki.
Woh Dil Mein Le Gayi Hasrat Madine Aane Ki.
Musibaton Ke Andheron Mein Chal Basi Bachi.
Humein Rehai Mili Woh Hai Aaj Bhi Qaidi.
Basa Liya Hai Sakina Ne Qaid Khane Ko.
Madina Lut Gayi Sarkar Tere Wali Ki.
Mere Hussain Ke Sokhay Galay Pe Taig Chali.
Bacha Na Abid-e-Beemar Ke Siwa Koi.
Hamari Godiyaan Pardais Mein Hoin Khali.
Qadam Uthaye Nahi Jate Ghar Mein Aane Ko.
Ghali Ghali Mein Phiraya Gaya Gareebon Ko.
Qadam Qadam Pe Rulaya Gaya Gareebon Ko.
Bicha Ke Kantay Chalaya Gaya Gareebon Ko.
Tamash Beeno Mein Laya Gaya Gareebon Ko.
Sawab Samjha Gaya Hai Humein Satanay Ko.
Tarha Tarha Se Sitamgar Humein Saza Detey.
Woh Taziyano Ki Beemar Ko Dawa Detey.
Utha Ke Saye Se Woh Dhop Mein Bitha Detey.
Ghareeb-e-Zahra Ka Pursa Bhala Woh Kya Detey.
Na Aaya Koi Rida Bhi Humein Urhaney Ko.
Na Likh Sakay Ga :TAKALLUM: Samaa Woh Tera Qalam.
They Gird Ahl-e-Madina Ajeeb Tha Aalam.
Yeh Keh Keh Naqoon Se Utray Siyah Posh Haram.
Yahan Pe Chain Se Hoga Hussain Ka Matam.
Taras Gaye They Hum Ashk-e-Azza Bahane Ko.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2012-13:
#NaKarQaboolMadine
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Na Kar Qabool Madine Mir Hasan Mir