Araha Hai Sham Ka Bazar Zainab Syed Ali Mehdi
Aa Raha Hai Sham Ka Bazar Zainab Kya Karey.
Kya Karey Aye Abid-e-Bimar, Zainab Kya Karey.
Sar Jhukaye Chal Rahi Hai Malka-e-Sharam-o-Haya.
Chaar Janib Hain Sina Bardar Zainab Kya Karey.
Kya Karey Aye Abid-e-Bimar, Zainab Kya Karey.
Koi Pathar Phainkta Hai Kholta Pani Koi.
Ho Rahi Hai Zulm Ki Yalgar Zainab Kya Karey.
Kya Karey Aye Abid-e-Bimar, Zainab Kya Karey.
Chadrein Sar Se Cheeni Khaimay Jalay Qaidi Banay.
Lut Gaya Shabbir Ka Ghar Bar Kya Zainab Karey.
Kya Karey Aye Abid-e-Bimar, Zainab Kya Karey.
Bagi Bagi Keh Ke Shami Hans Rahe Hain Aye Khuda.
Ro Rahi Hai Itrat-e-Athar Zainab Kya Karey.
Kya Karey Aye Abid-e-Bimar, Zainab Kya Karey.
Mangney Aaya Hai Bachi Ko Kaneezi Mein Laeen.
Ab Tu Aa Jao Alambardar Zainab Kya Karey.
Kya Karey Aye Abid-e-Bimar, Zainab Kya Karey.
Syed-e-Sajjad Qaidi Be Rida Ahl-e-Haram.
Our Sharabi Ka Bhara Darbar Zainab Kya Kar.
Kya Karey Aye Abid-e-Bimar, Zainab Kya Karey.
Qasim-o-Akbar Nahi Shair-e-Dilawar Bhi Nahi.
Mar Gaye Sab Monis-o-Ghamkhuwar Zainab Kya Karey.
Kya Karey Aye Abid-e-Bimar, Zainab Kya Karey.
Bas Yehi Noha Tha :YASIR:, Zainab-e-Dilgeer Ka.
Lut Gayi Shabbir Ki Sarkar Zainab Kya Karey.
Kya Karey Aye Abid-e-Beemar Zainab Kya Karey.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Noha Khuwan: :Syed Ali Mehdi:
Noha Volume: :Syed Ali Mehdi 2026-27:
Composition: :Yasir Raza Yasir:
#ArahaHaiSham
#NohayLyrics
#tajpoint

