Na Koi Din Ashor Sa Hai Na Koi Zameen Hai Karb-o-Bala Lyrics In Urdu and Roman Urdu
نہ کوئی دِن عاشور سا ہے نہ کوئی زمیں ہے کرب و بلا
Kabay Ka Kaba Karb-o-Bala Shabir Khudai Ka Qibla.
La Youma Ka Youmik Ya Aba Abdillah.
Har Aik Nabi Ne Karbal Ko Khirat Laho Ki Apne Di.
Lekin Shabir Ne Maqtal Mein Thi Oss Ko Maseehai Bakhshi.
Ijaz Hai Yeh Khon-e-Sheh Ka Hai Khak Jo Isski Khak-e-Shifa.
Ik Roz Bula Ke Shabar Ne Bhai Ko Lagaya Apne Galay.
Phir Ro Ke Kaha Yeh Sarwar Se Aye Bhai Main Tere Sadqay.
Tha Charon Taraf Shor-e-Giriya Our Lab Pe Hasan Ke Thi Yeh Sada.
Na Roi Apne Bachon Ko Na Apni Rida Ko Roi.
Bas Yaad Rahi Ghurbat Sheh Ki Gham Apna Kiya Na Koi.
Phir Laut Ke Qabar-e-Madar Par Rakh Kar Kurta Bhai Ka Kaha.
Phatta Hai Kaleja Abid Ka Haye Dekh Ke Apne Ke Lashay.
Bhai Ki Amanat Ko Zainab Deti Hai Dilasa Yeh Keh Ke.
Bhole Gi Na Dunya Sheh Ko Kabhi Wadah Hai Yeh Rab-e-Akbar Ka.
Tapoon Ki Zad Mein Jab Aayi Maqtal Mein Kamai Farwa Ki.
Mehndi Ka Laho Rang Charha Haye Hathon Ke Kubra Ki.
Phir Ran Mein Lash-e-Qasim Ke Har Tukray Se Aati Thi Sada.
Ahsas-e-Ghareebi Baba Ki Hoti Thi Pisar Ko Oss Lamhe.
Zindan Mein Ik Nanhi Turbat Hathon Se Banai Jab Ossne.
Noha Parh Ke Sajjad Ne Yeh Dafnaya Sakina Ka Lasha.
Rozon Ki Hifazat Karte Hoye Jab Koi Jawaan Hota Hai Shaheed.
Latay Hain Osse Phir Karb-o-Bala Rutba Barhta Hai Oss Ka Mazeed.
Dafna Ke Janaza Phir Oss Ka Dete Hain Sada Yeh Ahl-e-Azza.
Na Koi Zameen Hai Karbal Si Na Koi Din Aashor Sa Hai.
Hai Qaul Yeh Sadiq Mula Ka Farman Yehi Shabar Ka Hai.
Na Kulo Yomin Aashora Na Kulo Arzin Karb-o-Bala.
Wadah Hai :WAJHI: Our :QASIM: Ka Gham Karte Rahein Gaye Sarwar Ka.
Bholein Gaye Na Roz-e-Aashora Chorein Gaye Na Jana Karb-o-Bala.
Maninsa Hussaina Ya Zahra Paihum Yeh Rahe Gi Lab Pe Sada.
Poet: :Qasim Badami:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2015-16:
#NaKoiDinAshorSa
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com