Main Karb-o-Bala Hoon Page 2 Lyrics Urdu Mir Hasan 2009
Main Karb-o-Bala Hoon Page 2 Lyrics Urdu Mir Hasan Mir
Toor Par Mosa Ne Bas Aik Jhalak Dekhi Thi.
Hai Mujasam Yahan Mojood Hussain Ibn-e-Ali.
Meri Mati Ko Bhala Toor Se Nisbat Kaisi.
Batein Karne Wahan ALLAH Se Jate They Nabi.
Meri Sarhad Mein Yeh Qanon Badal Jata Hai.
Yahan Shabeer Se Milne Ko Khuda Aata Hai.
Main Ne Abbas Ke Qadmo Se Wafaein Le Lein.
Apne Qabzey Mein Zamane Ki Hawaein Le Lein.
Rehmaton Ne Meri Bhar Bhar Ke Balaein Le Lein.
Meri Mati Ne Jo Zahra Ki Duaein Le Lein.
Raat Din Mojzay Iss Wastay Hotey Hain Yahan.
Shab-e-Ashor Ke Jagay Hoye Sotay Hain Yahan.
Meri Mairaj Ki Tareekh Hai Iksath Hijjri.
Woh Jo Sadiyon Se Thi Be Chaini Meri Khatam Hoi.
Meri Taqdeer Ne Hur Ki Tarha Karwat Badli.
Main Ne Mangi Thi Jo Dolat Mujhe Shabeer Ne Di.
Ab Meri Khak Kissi Taj Ki Muhtaj Nahi.
Sheh Ki Nalain Se Barh Kar Tu Koi Taj Nahi.
Ibn-e-Zahra Ne :TAKALLUM: Mere Badlay Halaat.
Hai Meri Rah Se Lipati Hoi Ab Rah-e-Nijat.
Takht-e-Bilqees Bani Hai Mere Zarron Ki Zakat.
Aik Pyasay Ne Pilaya Hai Mujhe Aab-e-Hayat.
Meri Wadi Pe Qayamat Na Giraye Ga Khuda.
Jaisi Hoon Hashar Mein Waisa Hi Uthaye Ga Khuda.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2009-10:
#ManqabatLyrics
#tajpoint