Anna Majnoonal Ali – Faqeer-e-Mula 7-9 Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اَنا مجنون ال علیؑ، اَنا فقیرِ مولاؑ 7تا9
Ba-Khuda Ishq-e-Khuda Ishq Ali Mula Ka.
Ain-e-Tauheed Hai Kiya Ishq Ali Mula Ka.
Mehwar-e-Nukta-e-Ba Ishq Ali Mula Ka.
Mimber-e-Khum Ki Sada Ishq Ali Mula Ka.
Haan Issi Ishq Ko Seene Mein Basa Rakha Hai.
Main Ne Danai Ko Dewana Bana Rakha Hai.
Shidat-e-Ishq Kare Kam Yeh Bhala Kis Ki Majaal.
Na Hai Dolat Ki Hawas Our Na Ghurbat Pe Malal.
Na Mujhe Ooj Ki Khuwaish Na Mujhe Khoof-e-Zawaal.
Fikar Faqa Hai Na Ayam Ki Gardish Ka Khiyal.
Meri Hasti Ki Baqa Ibn-e-Wali Deta Hai.
Rab Ka Banda Hoon Magar Rizq Ali Deta Hai.
Qata:
Dunya Kahan Samjhe Gi Bhala Kya Hai Faqeeri.
Har Aqal Se Azhan Se Bala Hai Faqeeri.
Mula Ka Malang Subha-o-Masa Shan Se Jis Pe.
Karta Hai Ibadat Woh Musalla Hai Faqeeri.
Haan Bata Dijiye :YASIR: Ke Faqeeri Kya Hai.
Dar Haqeeqat Yeh Sanad Yafta Ik Rutba Hai.
Mustanad Shaks Jo Hota Hai Osse Milta Hai.
Yeh Woh Rutba Hai Jo Bande Ko Amar Karta Hai.
Jisko Milti Hai Faqeeri Woh Baqa Pata Hai.
Doob Kar IShq Ke Darya Mein Ubhar Jata Hai.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2015-16:
#AnnaMajnoonalAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com