Zahra Ki Betiyon Par Aaya Hai Waqt Kaisa Lyrics In Urdu 2018

Zahra Ki Betiyon Par Aaya Hai Waqt Kaisa Lyrics In Urdu 2018

Zahra Ki Betiyon Par Aaya Hai Waqt Kaisa.

Kofe Mein Uth Gaya Hai Baba Ka Sar Se Saya.

Shair-e-Khuda Ki Maiyat Par Baal Kholay Zainab.
Kehti Thi Maar Dalay Ga Hijar Tera Baba.

Natiq Quraan Pe Logo Talwar Chal Gayi Hai.
Aayaat Khon Mein Tar Noha Kuna Hai Sajda.

Waqt-e-Yateemi Aaya Kulsoom Pe Zainab Pe.
Madar Ki Judai Ka Yaad Aa Gaya Hai Lamha.

Afsoos ALLAH ALLAH Kaise Bhula Sake Gi.
Baba Ke Sath Zainab Ne Waqt Jo Guzara.

Kofe Ke Sare Basi Mashgool EID Mein Thay.
Bint-e-Ali Ko Dene Aaya Na Koi Pursa.

Zahra Ne Ki Thi Haider Se Yeh Hi Ik Wasiyat.
Zainab Ka Khas Mula Mere Khiyal Rakhna.

Ab Keh Rahe Hain Mula Abbas Bawafa Se.
Ghazi Tere Hawalay Sharm-o-Haya Ki Malka.

:AFRAZ JAFRI: Hum Kyun Munh Na Apna Peetein.
Dunya Se Ja Raha Hai Mushkil Kusha Hamara.

Poet: :Afraz Jafri:
Soz: :Ali Safeer Khan:

21 Ramzan Shahdat Hazrat Ali Noha.

#ZahraKiBetiyonPar
#NohayLyrics
#tajpoint

Zahra Ki Betiyon Par Aaya Hai Waqt Kaisa Lyrics In Urdu 2018 Write Up Poster Image

Zahra Ki Betiyon Par Aaya Hai Waqt Kaisa Lyrics In Urdu 2018

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :

Leave a Comment

error: Content is protected !!