Jab Bhi Azza Khane Mein Sajaya Hai Tabaruk Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جب بھی عزا خانے مِیں سجایا ہے تبرک
Mere Liye Fidoos Se Aaya Hai Tabaruk.
Tu Ne Bhi Ajab Martaba Paya Hai Tabaruk.
Palkoon Pe Farishtoon Ne Uthaya Hai Tabaruk.
Jibreel Se Keh Do Mera Mun Choom Lein Aa Kar.
Main Ne Bhi Abhi Shabir Ka Khaya Hai Tabaruk.
Aye Fatima Zahra Inhein De Dijiye Roti.
Janat Ne Farishtoon Se Mangaya Hai Tabaruk.
Inn Bachoon Ko Dunya Ki Nazar Lag Nahi Sakti.
Jin Bachoon Ko Maon Ne Khilaya Hai Tabaruk.
Yeh Nazar Yeh Langar Yeh Sabeelon Ki Qatarein.
Dunya Mein Jahan Dekhiye Chaya Hai Tabaruk.
Paida Kiya Dunya Ko Baray-e-Gham-e-Shabir.
ALLAH Ne Janat Ko Banaya Hai Tabaruk.
Shehzadi-e-Konain Ka Roomal Hai Sar Par.
Hur Ne Ajab Andaz Ka Paya Hai Tabaruk.
Shayad Yeh Nakeerain Ke Kaam Aa Sake NAYYAR.
Iss Wastay Kuch Main Ne Bachaya Hia Tabaruk.
Poet: :Dr Abbas Raza Nayyar Jalalpuri:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2005-06:
#Tabaruk
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com