Kahan Ahl-e-Azza Apna Fareeza Bhool Jate Hain Lyrics 2008
Kahan Ahl-e-Azza Apna Fareeza Bhool Jate Hain.
Gham-e-Shabir Mein Hum Dard-e-Dunya Bhool Jate Hain.
Main Un Ko Hafiz-e-Quran Kaise Man Loon Waiz.
Jo Quraan Yaad Kar Ke Ba Ka Nuqta Bhool Jate Hain.
Inhein Waise Rasool ALLAH Ki Batein Tu Azbar Hain.
Magar Maidan-e-Khum Mein Kya Howa Tha Bhool Jate Hain.
Shab-e-Mairaj Ka Qisa Sunate Hain Aqeedat Se.
Nabi Se Koan Tha Parde Mein Goya Bhool Jate Hain.
Shujat Ki Yeh Auroon Ka Qasida Parhte Rehte Hain.
Ali Asghar Ke Hansne Ka Saleeqa Bhool Jate Hain.
Yeh Kaise Karwaan Hain Jo Madine Tak Tu Jate Hain.
Magar Karb-o-Bala Jane Ka Rasta Bhool Jate Hain.
Biyaan Karte Hain Aksar Deen Ki Tareekh Kalmago.
Abu Talib Ka Khoon Maal-e-Khadija Bhool Jate Hain.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2008-09:
#BhoolJateHain
#ManqabatLyrics
#tajpoint