Jang-e-Khybar 5-8 Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2013
Jang-e-Khybar 5-8
Har Ik Ko Shak Tha Mera Hi Lein Gaye Rasool Naam.
Jagay Howay The Raat Ke Aankhein Thi Surkh Faam.
Jo Chote Qad The Panjon Ke Bal The Khare Tamam.
Itne Mein Laye Arsh Se Jibreel Yeh Pyam.
Lashkar Na Kar Sake Ga Tumhari Koi Madad.
Allah Keh Raha Hai Kaho Ya Ali Madad.
Nad-e-Ali Zuban-e-Muhammad Pa Aa Gayi.
Our Oss Taraf Madeene Mein Kehne Lagay Ali.
Qanbar Chalo Pukar Rahe Hain Humein Nabi.
Duldul KO Pyar Kar Ke Yeh Farmaya Oss Ghari.
Aaj Iss Tarha Se Chal Ke Falak Kanpne Lagay.
Dorey Jo Tere Sath Hawa Hanpne Lagay.
Jaisa Kaha Tha Badshah-e-Khas-o-Aam Ne.
Waisa Kiya Hai Duldul-e-Mehshar Kharam Ne.
Hairat Se Dekha Lashkar-e-Khairul Inam Ne.
Shair-e-Khuda Khare The Muhammad Ke Samne.
Har Chehre Par Sawal Tha Hazrat Kahan Se Aa.
Salman Bole Aaj Ali Aasmaan Se Aa.
Haq Se Alam Mila Soye Khybar Ali Chale.
Chomi Rakab Fateh Ne Aa Kar Ali Chale.
Deen-e-Khuda Ka Ban Ke Muqadar Ali Chale.
Aaya Hai Phir Jala Imam-e-Mubeen Ko.
Jibreel Jaldi Tham Ko Aa Kar Zameen Ko.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2013-14:
#JangeKhybar
#ManqabatLyrics
#tajpoint