Husn-e-Jana Ki Tareef Mumkin Nahi Afreen Afreen Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Husn-e-Jana Ki Tareef Mumkin Nahi Afreen Afreen Lyrics In Urdu and Roman Urdu

حُسنِ جاناں کی تعریف ممکن نہیں

Tu Bhi Dekhe Agar Tu Kahe Humnasheen Afreen Afreen.

Aisa Dekha Nahi Khobsorat Koi.
Jism Jaise Ajanta Ki Morat Koi.
Jism Jaise Nigahon Pe Jado Koi.
Jism Nagma Koi Jism Khushbo Koi.
Jism Jaise Machalti Hoi Ragni.
Jism Jaise Keh Khilta Howa Ik Chaman.
Jism Jaise Keh Soraj Ki Pehli Kiran.
Jism Tarsha Howa Dilkash-o-Dilnasheen.
Sandalein Sandalein Marmarein Marmarein.
Chehra Ik Phool Ki Tarha Shadaab Hai.
Chehra Osska Hai Ya Koi Mahtab Hai.
Chehra Jaise Ghazal Chehra Jan-e-Ghazal.
Chehra Jaise Kali Chehra Jaise Kanwal.
Chehra Ik Khuwab Bhi Chehra Tabeer Bhi.
Chehra Koi Alif Lailvi Dastaan.
Chehra Jaisa Keh Chehra Kahin Bhi Nahi.
Mah Ro Mah Ro Mehjabeein Mehjabeein.
Aankhein Dekhein Tu Main Dekhta Reh Giya.
Jaam Do Our Dono Hi Do Aatisha.
Aankhein Ya Maikade Ke Yeh Do Baab Hain.
Aankhein Inn Ko Kahon Ya Kahon Khuwab Hain.
Aankhein Neechi Hoin Tu Haya Ban Gayin.
Aankhein Uth Kar Jhuki Tu Adda Ban Gayin.
Aankhein Jhuk Kar Uthein Tu Qaza Ban Gayin.
Aankhein Jin Mein Hain Qaid Aasman-e-Zameen.
Nargisein Nargisein Sur Mageein Sur Mageein.
Zulf-e-Janaa Ki Bhi Lambi Hai Dastaan.
Zulf Ki Mere Dil Par Hain Parchaiyaan.
Zulf Jaise Keh Umdi Hoi Ho Ghata.
Zulf Jaise Keh Ho Koi Kali Bala.
Zulf Uljhe Tu Dunya Pareshan Ho.
Zulf Suljhe Tu Yeh Zeest Aasan Ho.
Zulf Bikhre Siyah Raat Chahne Lage.
Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Haseen.
Reshmi Reshmi Anbreen Anbreen.
Poet: :Javeed Akhtar:
Singer: :Ustad Nusrat Fateh Ali Khan:
#AfreenAfreen
#GhazalLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!