Al-Amaan Al-Amaan Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2015
Al-Amaan Al-Amaan Ya Sahib Al Zamaan
Toti Hoi Hain Aaj Bhi Zahra Ki Pasliyaan.
Haq Mangne Jo Fatima Darbar Mein Gayi.
Baithe Rahe The Loag Kissi Ne Haya Na Ki.
Zainab Ki Maa Khari Rahi Logon Ke Darmiyaan.
Wah Gurbata Batool Pe Kaisi Thi Woh Ghari.
Tum Ko Sadaein Deti Thi Beti Rasool Ki.
Dewaar Our Jalte Howay Dar Ke Darmiyaan.
Dhati Rahi Sitam Pe Sitam Umat-e-Rasool.
Deti Rahi Azan-e-Wilayat Wahan Batool.
Zahra Ki Baat Sunta Nahi Tha Koi Jahan.
Darbar Se Jo Laut Ke Bint-e-Nabi Gayi.
Guzre Na Oss Maqam Se Maula Hassan Kabhi.
Jis Koche Mein Giri Thi Zamee Pe Hassan Ki Maa.
Aabad Ho Ga Phir Se Woh Ujra Howa Deyar.
Tab Ho Ga Khatam Fatima Sughra Ka Intezar.
Akbar Ki Tarha Do Gaye Madine Mein Jab Azaan.
Tanhai Qaid Dureh Yateemi Andhera Ghar.
Had Hai Yeh Koi Ja Bhi Nahi Sakta Qabar Par.
Ab Our Kitna Ho Ga Sakina Ka Imtehaan.
Kariyal Jawaan Ko Roti Hai Turbat Mein Aaj Bhi.
Akbar Ke Tu Kalejay Se Barchi Nikal Gayi.
Zainab Ke Dil Se Nikli Nahi Aaj Tak Sinaa.
Bali Sakina Qaid Hai Zindaan Mein Aaj Bhi.
:AKBAR: Hai Intezar Mein Beti Hussain Ki.
Ab Bhi Sunai Deti Hain Bachi Ki Hichkiyaan.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2015-16:
#AlAmaan
#NohayLyrics
#tajpoint