Madine Ki Fizaon Mein Dar e Haider Lyrics Urdu 2017
Madine Ki Fizaon Mein Dar-e-Haider Nahi Milta.
Jahan Aabad Thin Zahra Kahin Woh Ghar Nahi Milta.
Yeh Jalta Dar Batata Hai Madina Pehla Kofa Hai.
Jahan Zahra Ko Apna Koi Bhi Yawar Nahi Milta.
-->
Baqaiye Ki Woh Qabrein Sirf Pathar Hi Sahi Lekin.
Kahin Par Fatima Ke Naam Ka Pathar Nahi Milta.
Sadaein Gunbad-e-Khizra Ke Minaron Se Aati Hain.
Marey Beton Ki Qabron Par Diya Kyunkar Nahi Milta.
Faqat Tareekh Ke Kagaz Pe Naqshay Reh Gaye :AKBAR:.
Zameen Par Khuld-e-Zahra Ka Koi Manzar Nahi Milta.
Poet: :Hasnain Akbar:
#MadineKiFizaonMein
#NohayLyrics
#tajpoint
Write Up Madine Ki Fizaon Mein Dar-e-Haider Lyrics Urdu 2017 Poster Image
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
