Dard-e-Shabir Jis Insan Ka Muqadar Thehre Lyrics In Urdu and Roman Urdu
دردِ شبیرؑجس اِنساں کا مقدر ٹھہرے
Oss Ka Har Ashq Na Kyun Khuld Mein Gohar Tehre.
Tu Hai Lajpal Gharane Ka Sakhi Ibn-e-Sakhi.
Jo Tere Dar Ke Gada The Wo Tawangar Tehre.
Youn Tu Jaan De Gay Islam Pe Lakhon Afrad.
Nasir-e-Dein Magar Siraf Bahatar Tehre.
Piyas Mein Nehar Pe Qabza Kiya Pani Na Piya.
Tishna Kamo Mein Woh Abbas Dilawar Tehre.
Sar Khule Dekh Ke Itrat Ke Yeh Mumkin Hi Na Tha.
Bar Sar-e-Nook-e-Sina Ghazi Tera Sar Tehre.
Shah Ne Di Jo Sada Hai Koi Nasir Mera.
Sun Ke Jhole Mein Kahan Phir Ali Asghar Tehre.
Beriyaan Paon Mein Our Tauq Giran Gardan Mein.
iss Pe Yeh Hukam Keh Bemar Na Dam Bhar Tehre.
Qasim-0-Aoun-o-Muhammad Hoon Keh Akbar Abbas.
Sab Ke Sab Rizm-e-Shahdat Ke Sikandar Tehre.
Bahi Ke Halq Pe Khanjar Ki Jo Dekhein Zarbein.
Kaise Hamsheer Ka Dil Seene Ke Andar Tehre.
Kofa-o-Sham Ke Bazaar Tamashai Hajoom.
Barish-e-Sang Mein The Aal-e-Payambar Tehre.
Betiyaan FatimaS Zahra Ki Khule Sar Darbar.
Haye Sajjad Tere Kaise Muqadar Tehre.
Jo Teri Payas Ke Ahsas Se Roye Barson.
Chal Diye Dunya se Jab Phir Lab-e-Kausar Tehre.
Tha Jo :MUMTAZ: Azzadar Hussain Ibn-e-ALi.
Hashar Mein Oss Ki Shifaat Ko Payambar Tehre.
Poet: :Khalique Hussain Mumtaz Sialkot:
Book: :Taqleed-e-Mowaddat:
www.tajpoint.com