Maa Ne Asghar Ko Jo Jhole Mein Na Paya Ho Ga Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2003
Maa Ne Asghar Ko Jo Jhole Mein Na Paya Ho Ga Hasan Sadiq.
Raat Bhar Chain Ossay Kis Tarha Aaya Hoga.
Maa Yehi Soch Ke Roti Thi Lahu Ke Aanso.
Sheh Ne Kis Tarha Kiya Hoga Tere Khoon Se Wozu.
Teer Jab Asghar-e-Be Sheer Ne Khaya Hoga.
Kuch Jali Lakriyaan Jholay Ki Utha Layi Thi.
Bano Jab Choot Ke Zindan Se Ghar Aayi Thi.
Haal Asghar Ka Youn Sughra Ko Sunaya Hoga.
Zindagi Bhar Kabhi Saye Mein Na Bethi Madar.
Kehti Thi Dhop Mein Sota Hai Mera Noor-e-Nazar.
Meri Tu Qabar Pe Bhi Dhop Ka Saya Hoga.
Pochti Rehti Thi Har Aik Se Maa Asghar Ki.
Mujh Ko Batlao Bani Qabar Kahan Asghar Ki.
Oss Ki Turbat Pe Diya Kis Ne Jalaya Hoga.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2003-04:
#MaaNeAsgharKoJo
#NohayLyrics
#tajpoint