Haye Ghurbat e Hasan Ahmad Timsaal Lyrics Urdu 2024
Haye Ghurbat e Hasan Ahmad Timsaal
Noha Akhi Ki Lash Pe Karti Thi Youn Bahan.
Haye Ghurbat-e-Hasan, Haye Ghurbat-e-Hasan.
Apne Nabi Ke Lal Ka Kya Haal Kar Diya.
Lash-e-Hasan Ko Iss Qadar Pamal Kar Diya.
Barsay Hain Itnay Teer Keh Chalni Hai Kul Badan.
Aye Nana Jaan Zara Meri Ghurbat Ko Dekhiye.
Khud Aa Ke Apne Lal Ki Maiyyat Ko Dekhiye.
Kitna Lahu Lohan Hai Rangeen Hai Kafan.
De Kar Zehar Kaleja e Shabbar Ko Phaar Kar.
Ik Bar Phir Batool Ke Ghar Ko Ujaar Kar.
Barbad Kar Ke Rakh Diya Haye Mera Chaman.
Chun Chun Ke Teer Lash Se Roti Rahi Hazeen.
Kehti Thin Kyun Na Phat Gayi Yasrab Ki Sar Zameen.
Halanke Karbala Nahi Apna Hai Yeh Watan.
Jitne Nabi Ke Lal Ke Tukray Jigar Ke They.
Utnay Hi Tukray Lasha-e-Qasim Ke Ho Gaye.
Bikhra Howa Hai Dasht Mein Shabbar Ka Gul Badan.
Phatta Hai Dil Hussain Ka Zainab Ke Bain Par.
Haye Kaisa Imtehan Hai Zaat-e-Hussain Par.
Dena Hai Apne Bhai Ko Ik Bar Phir Kafan.
:Ahmad: Biyaan Ho Kis Tarha Ghurbat Ghareeb Ki.
Ghar Laut Kar Ke Aayi Thi Maiyyat Ghareeb Ki.
Our Ro Rahi Thi Lash Pe Teeron Ki Anjuman.
Poet: :Ahmad Timsaal:
28 Safar Shahadat Imam Hasan Noha
#HayeGhurbateHasan
#NohayLyrics
#tajpoint