Fazeelat-e-Namaz Lyrics In Urdu Mir Hasan Mir 2013
Fazeelat-e-Namaz.
Ali Se Pochay Fazeelat Namaz Parhne Ki.
Jo Kar Raha Hai Muzammat Namaz Parhne Ki.
Namaz Parhni Hai Gar Waris-e-Namaz Ke Sath.
Abhi Se Daal Lo Adat Namaz Parhne Ki.
Main Chahta Hoon Ali Ke Ali Se Baat Karon.
Mujhe Youn Rehti Hai Ujlat Namaz Parhne Ki.
Main Jab Musallay Pe Aaon Tu Dil Yeh Kehta Hai.
Le Karbala Se Ijazat Namaz Parhne Ki.
Hain Munkiran-e-Nabi-o-Ali Jo Kehte Hain.
Nahi Hai Koi Zarorat Namaz Parhne Ki.
Haan Gar Beghair-e-Wilayat Ho Phir Tu Theek Hai Yeh.
Nahi Hai Koi Zarorat Namaz Parhne Ki.
Main Qibla Rukh Tha Zareeh-e-Hussain Samne Thi.
Dobala Ho Gayi Lazzat Namaz Parhne Ki.
Saf-e-Namaz Pe Aaon Keh Farsh-e-Matam Par.
Main Kar Ke Aata Hoon Niyyat Namaz Parhne Ki.
Namaz Parhti Rahi Karbala Mein Unn Ki Namaz.
Jo Kar Rahe They Hifazat Namaz Parhne Ki.
Azaan Mein Ahmad-o-Haider Ka Tazkira Sun Kar.
Kuch Our Hoti Hai Chahat Namaz Parhne Ki.
Namaz Parhta Tha Jaisay Yazid Ka Lashkar.
Na Ho Kissi Ko Youn Adat Namaz Parhne Ki.
Mere Imam Chaley Aao Kab Se Esa Ko.
Tumharey Pichey Hai Hasrat Namaz Parhne Ki.
Khuda Se Mang :TAKALLUM: Ali Ali Ka Sila.
Ali Se Mang Le Ujrat Namaz Parhne Ki.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2013-14:
#FazeelateNamaz
#ManqabatLyrics
#tajpoint