Ameer Bhi Hai Ghareeb Bhi Hai Mir Hasan Lyrics Urdu 2008

Ameer Bhi Hai Ghareeb Bhi Hai Mir Hasan Lyrics Urdu 2008

Ameer Bhi Hai Ghareeb Bhi Hai.

Hussain(AS) Mehboob-e-Kibriya Hai.
Hussain(AS) Ghurbat Ki Inteha Hai.
Hussain(AS) Maqsood-e-Karbala Hai.
Hussain(AS) Mazloom-e-Karbala Hai.

Ameer Aisa Kafan Ki Sogaat Jis Ke Roze Se Bat Rahi Hai.
Ghareeb Aisa Ke Khud Ko Ab Tak Kafan Muyasar Nahi Howa Hai.

Ameer Aisa Keh Jis Ka Jhola Nabi(SAWW) Jholaein Ali(AS) Jholaein.
Ghareeb Aisa Keh Jis Ke Bache Ka Ban Mein Jhola Bhi Jal Giya Hai.

Ameer Aisa Keh Rasm-e-Purda Dari Chali Hai Ossi Ke Ghar Se.
Ghareeb Aisa Keh Shaam-o-Kofa Mein Oss Ki Hamsheer Be Rida Hai.

Ameer Aisa Sakina(SA) Jaisi Khuda Beti Jise Atta Ki.
Ghareeb Aisa Ossi Ke Munh Par Koi Tamache Laga Raha Hai.

Ameer Aisa Keh Jis Ke Baba Ki Milkiyat Mein Hooz-e-Kausar.
Ghareeb Aisa Keh Teen Din Se Ossi Ko Pani Nahi Mila Hai.

Ameer Aisa Khuda Ka Deen Jis Ke Dam Se Hai Aaj Tak Salamat.
Ghareeb Aisa Ke Ran Mein Jis Ka Badan Salamat Nahi Raha Hai.

Ameer Aisa Ke Pathron Ko Bana De Gohar Wohi :TAKALLUM:.
Ghareeb Aisa Keh Pathron Mein Ossi Ka Lasha Chupa Howa Hai.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2008-09:

#NohayLyrics
#tajpoint

Ameer Bhi Hai Ghareeb Bhi Hai Mir Hasan Lyrics Urdu 2008 Write Up Poster Image

Ameer Bhi Hai Ghareeb Bhi Hai Mir Hasan Lyrics Urdu 2008

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!