Bhare Darbar Mein Roti Rahi Khari Zahra Lyrics In Urdu and Roman Urdu
بھرے دربار مِیں روتی رہی کھڑی زہراؑ
Na Jane Kis Tarha Haq Mangti Rahi Zahra.
Sanad Ke Tukre Hawa Mein Ura Ke Hansne Laga.
Rasool Zadi Se Gustakh Aise Kehne Laga.
Bata Woh Koan Si Jageer Hai Teri Zahra.
Hasan Hussain Se Sache Gawah Bhi Jhutlaye.
Rula Ke Bibi Ko Zalim Zara Na Sharmaye.
Bhula Na Paye Gi Umat Ki Be-Rukhi Zahra.
Yeh Oss Ki Beti Hai Jis Ne Do Lakht Chand Kiya.
Woh Jis Ke Noor Ne Har Roshni Ko Mand Kiya.
Isse Satao Na Dukhyari Hai Bari Zahra.
Nabi Ke Baad Yeh Kya Ho Giya Zamane Ko.
Kyun Kalma Go Hain Chale Tera Ghar Jalane Ko.
Sahe Gi Kis Tarha Tu Yeh Sitamgari Zahra.
Siyah Baal Jo Maa Ke Safaid Tar Dekhe.
:TAUQEER: Kaise Kahon Betiyon Ne Sar Peete.
Gayi Thi Jis Tarha Ghar Hai Thaki Thaki Zahra.
Poet: :Tauqeer Kamalvi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2017-18:
#AyameFatmiyah
#BhareDarbarMein
#NohaLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com