Bolein Zahra Zainab Ka Youn Sath Nibhana Lyrics 2006
Bolein Zahra Zainab Ka Youn Sath Nibhana.
Agyar Ke Majme Mein Fizza Tu Rida Ban Ke Zainab Ko Chopana.
Pehli Manzil Tu Karbala Hai Magar Sath Abbas Bhi Wahan Ho Ga.
Dard Karb-o-Bala Ka Apni Jagah Bas Mujhe Shaam Ka Hai Gham Fizza.
khud Dekh Chuki Hoon Main Mushkil Hai Bohat Fizza Darbar Mein Jana.
Tishnagi Had Se Bhar Gayi Ho Gi Rote Bachon Ko Woh Sanbhale Gi.
Apne Hise Ka Aab Bhi Zainab Piyase Bachon Mein Bant Dale Gi.
Khud Apne Hi Hise Se Kuch Pani Bacha Kar Tum Zainab Ko Pilana.
Mujh Ko Maloom Hai Yateemi Mein Loag Jab Rokte Hain Rone Se.
Oss Ghari Dill Pe Kiya Guzarti Hai Main Samajti Hoon Dukh Sakina Ke.
Dil Khool Ke Baba Ki Mayiyat Pe Ro Le Tu Mayiyat Se Uthana.
Qafila Jab Chale Ga Sehra Se Koi Maqtal Mein Choot Jaye Gi.
Iss Se Pehle Ke Pohanche Zainab Tak Shimar Ke Hath Aye Gi Bachi.
Tab Shimar Ke Haton Se Tum Meri Sakina Ke Baloon Ko Chorana.
Sun Ke Bint-e-Nabi Ki Baton Ko Bolein :SAQLAIN: Fizza Zahra Se.
Tum Se Bibi Yehi Guzarish Hai JItne Waday Kiye Hain Fizza Ne.
Main Kaise Nibhati Hoon Unn Shaam Ki Galiyon Mein Tum Dekhne Anna.
Poet: :Saqlain Akbar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2006-07:
#BoleinZahraZainabKa
#NohayLyrics
#tajpoint