Darbar Mein Ye Kehti Thi Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2015
Darbar Mein Ye Kehti Thi Mir Hasan Mir.
Darbar Mein Ye Kehti Thi Zahra Ki Ladli Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Zalim Hai Hath Joor Ke Ye Iltija Meri Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Jis Din Se Hum Aseer Hain Maa Sath Sath Hai.
Chehre Pa Ab Hussain Ke Amma Ka Hath Hai.
Zahra Sar-e-Hussain Se Lipti Hain Iss Ghari.
Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Jalti Zameen Pa Fatima Ke Dil Ke Chain Ko.
Ye Zibha Hote Dekh Chuki Hai Hussain Ko.
Mazloom Ki Hai Samne Beti Khari Hoi.
Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Ik Bar Bas Aseer Saron Par Nigah Kar.
Ghazi Tarapta Hai Tere Har Aik Waar Par.
Tarpa Raha Hai Kyun Osse Marne Ke Bad Bhi.
Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Zulm-o-Sitam Se Tera Agar Dill Nahi Bhara.
Le Khowahre Hussain Se Badla Hussain Ka.
De Le Kuch Our Mujh Ko Saza Taziyano Ki.
Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Zulfein Pakar Ke Pusht Se Kata Giya Ye Sar.
Kholi Ke Ghar Tandoor Mein Rakha Giya Yeh Sar.
Haye Aisi Bhi Kya Nabi Ke Nawase Se Dushmani.
Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Pehle Hi Sar Hussain Ka Zakhmi Hai Dekh Le.
Hum Se Zyda Wo Sar-e-Shabir Ne Sahe.
Bazaar Mein Jo Barse The Pathar Abhi Abhi.
Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Iss Sar Se Aik Baal Bhi Toota Kabhi Agar.
Maa Raat Bhar Tarapti Thi Pehlu Mein Baith Kar.
Zalim Chala Na Qalab Pe Amma Ke Phir Chori.
Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Bint-e-Ali Ka :MIR TAKALLUM: Tha Ye Biaan.
Ab Our Le Na Meri Khamoshi Ka Imtehaan.
Yeh Lab Hile Tu Ho Gi Qiyamat Bapa Abhi.
Mat Mar Tu Labon Pa Mere Bahi Ke Chari.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2015-16:
#DarbarMeinYeKehtiThi
#NohayLyrics
#tajpoint