Yeh Karbala Hai Yeh Karbala Hai Mir Hasan Lyrics 2016
Yeh Karbala Hai Yeh Karbala Hai Mir Hasan Mir.
Yahan Sanbhal Kar Qadam Uthana Yeh Karbala Hai Yeh Karbala Hai.
Yeh Baat Hargiz Na Bhool JanaYeh Karbala Hai Yeh Karbala Hai.
Jahan-e-Sabar-o-Riza Yehi Hai.
Khuda-e-Sabar-o-Riza Yehi Hai.
Yahan Pe Aate Hain Chal Ke Mehdi.
Behisht-e-Zahra Yeh Sar Zameen Hai.
Yahan Hai Zahra Ka Aana Jana.
Duaein Dein Gaye Hussain Tum Ko.
Yahan Pe Aanso Agar Bahaye.
Jahan Pe Beti Ne Be-Watan Ki.
Sitamgaron Se Tamache Khaye.
Yahan Pe Khushiyon Ko Bhool Jana.
Yahan Pe Guzri Hai Woh Qayamat.
Mila Na Oss Ko Sakoon Ab Tak.
Ridaein Chinne Ke Gham Mein Abid.
Lahad Mein ROta Hai Khon Ab Tak.
Yahan Pe Hargiz Na Muskurana.
Yahan Pe Hur Bhi Tha Hurmala Bhi.
Kitab-e-Hasti Ko Parh Ke Dekho.
Sada Yeh Hal Min Tu Aa Rahi Hai.
Tum Iss Taraf Ho Ya Oss Taraf Ho.
Tumhein Amal Se Hai Ab Batana.
Kahin Pe Qasim Howay Hain Tukrey.
Kahin Pe Zeen Se Gire The Mula.
Kahin Sakina Sumo Se Lipati.
Kahin Pe Asghar(AS( Ne Teer Khaya.
Yehin Ghareebi Ka Hai Thikana.
Sawari Aaye Gi Ik Wahan Se.
Najaf Ki Janib Nigah Rakhna.
Jab Aaye Sham-e-Ghareeban Oss Dam.
Ali Ko Zainab Ka Pursa Dena.
Tum Aasnson Ke Diye Jalana.
Kisi Ke Dil Mein Lagi Hai Barchi.
Kissi Ke Bazu Kate Yahin Par.
Ali Ki Beti Ke Kitne Yousuf.
Lahu Mein Dobay Hain Iss Zameen Par.
Luta Hai Sadaat Ka Gharana.
Rahe Kahin Bhi Jahan Mein Ja Kar.
Hussain Wale Yeh Jante Hain.
Hum Ahl-e-Matam Ke Dil :TAKALLUM:.
Yahan Ki Miti Se Hi Bane Hain.
Yahan Hai Wapis Palat Ke Aana.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2016-17:
#YehKarbalaHai
#NohayLyrics
#tajpoint