De Ke Awaz Baap Ko Akbar Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2014
De Ke Awaz Baap Ko Akbar Mir Hasan Mir.
De Ke Awaz Baap Ko Akbar Sochte Hain Ke Ayein Gaye Kaise.
Larkharate Howay Jo Aa Bhi Gaye Haye Mera Lasha Uthaein Gaye Kaise.
Hur Ke Baite Ki Lash Par Hur Se Keh Rahe The Abhi Yehi Baba.
Baap Lashe Jawaan Uthata Nahi Iss Ka Lasha Main Khud Uthaon Ga.
Ab Wohi Marhala Hai Baba Par Mera Lasha Uthaein Gaye Kaise.
Aik Mehshar Bapa Tha Khaime Mein Maa Se Jis Dam Giya Tha Main Milne.
Aa Ke Baba Ne Oss Ghari Daman Khud Churaya Tha Meri Behno Se.
Mera Daman Churana Aasaan Tha Dil Se Barchi Churaein Gaye Kaise.
Fikar Barchi Ki Kuch Nahi Mujh Ko Dil Mein Bas Ye Khiyal Aata Hai.
Apne Kariyal Jawaan Ke Lashe Par Jeete Jee Baap Mar Hi Jata Hai.
Iss Zaiefi Mein Aik Sath Padar Do Janaze Uthaein Gaye Kaise.
Ab Main Samjha Ke Kis Liye Baba Mere Seene Ko Choma Karte The.
Yaad Aati Thi Un Ko Jab Sughra Meri Aankhon Mein Dekha Karte The.
Dam Hai Ab Mera Meri Aankhon Mein Mujh Se Nazrein Milaein Gaye Kaise.
Ayna Ayna Ali-o-Akbar Ki Ran Mein Awaz Jab Wo Dete Hain.
Haye Ghurbat Ghareeb-e-Zahra Ki Dekh Kar Saham Wale Hanste Hain.
Rasta Un Ko Mujh Tak Aane Ka Phir Ye Qatil Bataein Gaye Kaise.
Qatal-e-Shabir Ki Hai Teyari Ran Mein Chamka Rahe Hain Sab Khanjar.
Haye Barchi Seene Mein Hai Mere Lekin Itna Majboor Bhi Nahi Akbar.
Shaam Ke Loag Mere Hote Howay Haye Sheh Pe Khanjar Chalein Gaye Kaise.
Aankh Mein Ashk Lab Pe Noha Tha Aye :TAKALLUM: Ajeeb Lamha Tha.
Haye Dil Mein Woh Baar Baar Kehta Tha Aane Wala Hai Qasid-e-Sughra.
Bhai Ki Lash Par Mere Baba Khat Behan Ka Sunaein Gaye Kaise.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2014-15:
#DeKeAwazBaapKoAkbar
#NohayLyrics
#tajpoint