Fatima Ka Bahre Madine Mein Gham Lyrics 2013

Fatima Ka Bahre Madine Mein Gham Lyrics In Urdu 2013

Fatima Ka Bahre Madine Mein Gham Batane Koi Nahi Aya Write Up

Ghar Jalne Tu Kalma Go Aye Haye Dar Bhujane Koi Nahi Aya.

Kya Wo Islam Ka Hi Markaz Tha Kya Madina Tha Wo Muhammad Ka.
Lag Rahe The Jahan Pe Zahra Ke Tazyane Koi Nahi Aya.

Rasiyaan Thin Ali Ki Gardan Mein Our Bazar Se Guzarte The.
Sab Tamashai Ban Ke Takte Rahe Our Chorane Koi Nahi Aya.

Ghar Jala Qatal Ho Gay Mohsin Pasliyaan Syeda Ki Toot Gayin.
Phir Bhi Kehte Ho Tum Keh Zahra Per Zulm Dhane Koi Nahi Aya.

Khud Hi Chunne Lagi Nabi Zadi Bikhari Tehreer Apne Baba Ki.
Mustafa Ki Sanad Ke Tukroon Ko Haye Jab Uthane Koi Nahi Aya.

Har Sitam Fatima Peh Dhaya Gaya Jalta Darwaza Bhi Giraya Gaya.
Apne Mehdi Ko Di Sada Oss Ne Haye Jab Bachane Koi Nahi Aya.

Aath Shawal Ko Hoi :AKBAR: Phr Shahadat Nabi Ki Beti Ki.
Gir Raha Tha Mazaar Bibi Ka Par Bachane Koi Nahi Aya.

Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2013-14:
Ayyam-e-Fatima Noha 2013-14

#FatimaKaBahreMadineMein
#NohayLyrics
#tajpoint

Write Up Fatima Ka Bahre Madine Mein Gham Lyrics In Urdu 2013 Poster Image

Fatima Ka Bahre Madine Mein Gham Lyrics In Urdu 2013

Video Link
error: Content is protected !!