Zulm Aisa Howa Madine Mein Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ظُلم ایسا ہوا مدینے میں
Ghar Khuda Ka Jala Madine Mein.
Lehad Sarwar Ki Kanp Uthi Hai.
Kis Pe Dar Hai Gira Madine Mein.
Rakhi Bunyad Sham-o-Kofa Ki.
Ban Gayi Karbala Madine Mein.
Hadees-e-Bizato Duhai Deti Hai.
Khon-e-Sarwar Baha Madine Mein.
Rasiyaan Aag Our Sand Tukray.
Zulm Ki Inteha Madine Mein.
Kalma Parh Ke Bhi Haye Re Ummat.
De Gayi Hai Daga Madine Mein.
Jis Ke Saye Mein Roti Thi Bibi.
Pair Woh Hi Kata Madine Mein.
Ro Ke Kehti Thi Sorah-e-Kausar.
Ghar Mera Jal Gaya Madine Mein.
Zakhmi Pehlu Pe Hath Rakhay Hoye.
Chali Khair-Al-Nisa Madine Mein.
Yeh Janaza Hai Bint-e-Sarwar Ka.
Raat Ko Jo Utha Madine Mein.
Parh Ke Rotay Hain Aaj Bhi Qayam.
Likha Woh Marsiya Madine Mein.
Qabar-e-Syeda Pe :HAIDER:-o-:AZHAR:.
Dhop Ki Hai Rida Madine Mein.
Poet: :Azhar Abbas:
Noha Khuwaan: :Syed Haider Rizvi
Karachi:
Karachi:
#AyyameFatima
#NohayLyrics
#tajpoint