Hussain Kal Bhi Tha Mazloom Our Aaj Bhi Hai Lyrics 2010

Hussain Kal Bhi Tha Mazloom Our Aaj Bhi Hai Lyrics 2010

Sitam Ki Zad Pe Hamara Imam Aaj Bhi Hai.

Azza Ke Farsh Ka Halmin Payam Aaj Bhi Hai.

Nazar Mein Phirte Hain Karb-o-Bala Ke Sab Manzar.
Zameen Pe Bikhra Howa Tha Hussain Ka Lashkar.
Kahin Kate Howay Bazo Kahin Kate Howay Sar.
Gali Gali Mein Wohi Qatal-e-Aam Aaj Bhi Hai.

Jaloos-e-Giriya-o-Matam Pe Zulm Itne Howay.
Sitam Ke Mare Howay Apne Khoon Mein Dobe Howay.
Barasti Dhoop Mein Maon Se Lipte Howay.
Sawal Karte Hain Kya Foaj-e-Shaam Aaj Bhi Hai.

Howay The Jiss Tarha Qasim Ki Lash Ke Tukre.
Shaheed Hote Hain YOunhi Ghulam Qasim Ke.
Janaze Unn Ke Bhi Kandhoon Pe Uth Nahi Sakte.
Ye Gathriyon Ke Kafan Ka Nizam Aaj Bhi Hai.

Hussain Kehne Pe Zainab Ko Taziyana Laga.
Phir Oss Ke Baad Aziyat Ka Silsila Na Ruka.
Ossi Ko Maar Diya Jiss Ne Ya Hussain Kaha.
Yazeed(L) Zadoon Ka Jari Wo Kaam Aaj Bhi Hai.

Imam-e-Asar Ki Faryad Ab Bhi Hai :AKBAR:.
Zamana Ho Giya Veeran Fatima Ka Hai Ghar.
Laho Ke Ashk Bahata Hai Abid-e-Muztar.
Mere Gharane Pe Gurbat Ki Sham Aaj Bhi Hai.

Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2010-11:

#HussainKalBhiThaMazloom
#NohayLyrics
#tajpoint

Hussain Kal Bhi Tha Mazloom Our Aaj Bhi Hai Write Up 2010

Write Up Hussain Kal Bhi Tha Mazloom Our Aaj Bhi Hai Lyrics 2010 Poster Image

Hussain Kal Bhi Tha Mazloom Our Aaj Bhi Hai Lyrics 2010

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!