Jahan Hussain Wahan Page 1 Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2010

Jahan Hussain Wahan Page 1 Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2010

Jahan Hussain Wahan Page 1 Nadeem Sarwar

Charag Jalta Raha.
Jo Qafila Tha Rawaan.
Woh Qafila Hai Rawaan.
Safar Ba Nook-e-Sina.
Sina Ke Sath Azaan.

Buredah Sar Ki Sadaein Fiza Mein Phail Gayin.
Darechon Aangano Galiyon Mein Taptay Sehra Se.
Zameeno-o-Arsh Khilaon Se Our Fizaon Se.
Dino Mein Raat Mein Jangal Mein Kohsaron Se.
Sadaein Aane Lagin Ashado Unn La Ilaha Illallah.

Yeh Aik Bar Howa Our La Zawal Howa.
Sina Ki Nook Pe Subhana Rabbi Al Ala.
Pukara Kalma-e-Tauheed Bhi Jazaak ALLAH.
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illallah.
Khateeb-e-Nook-e-Sina La Ilaha Illallah.

Hussain Deen Bhi Hai Our Deniyaat Bhi Hai.
Hussain Kalma-e-Tauheed Ki Hayat Bhi Hai.
Hussain Ramz-e-Khuda Bhi Khuda Sifaat Bhi Hai.
Hussain Barah Imamo Ki Kainat Bhi Hai.
Hussain Se Hai Ayyaan La Ilaha Illallah.

Woh Gaud Fatima Zahra Ki Ho Keh Raig-e-Tapaan.
Woh Sehan-e-Kaba Ho Pusht-e-Rasool Yaan Keh Sina.
Fizaye Jang Ho Ya Ho Pyam-e-Aman-o-Amma.
Na Dekhey Teer Na Talwar Gar Ho Hukam-e-Azaan.
Hussain Ka Hai Biyaan La Ilaha Illallah.

Hussain Walon Ki Pehchan Hai Azadari.
Hussain Walon Ki Tu Jan Hai Azadari.
Hussain Walon Ka Eman Hai Azadari.
Hussain Walon Ka Ayelan Hai Azadari.
Hussainiyat Ki Zabaan La Ilaha Illallah.

Basi Hai Karb-o-Bala Tu Koi Jawaz Bhi Hai.
Luta Hai Gulshan-e-Zahra Tu Koi Raaz Bhi Hai.
Yeh Raaz Woh Hai Keh Khaliq Ko Iss Pe Naaz Bhi Hai.
Bara-e-Naaz Bahatar Ki Woh Namaz Bhi Hai.
Issi Ka Sir-e-Nihaan La Ilaha Illallah.

Namaz Nafas Ki Izzat Hai Auliya Ki Qasam.
Namaz Deen Ki Hurmat Hai Osiya Ki Qasam.
Namaz Husan-e-Sharafat Hai Anbiya Ki Qasam.
Namaz Qisa-e-Wahdat Hai Kibriya Ki Qasam.
Namaz Khair-e-Amal Ki Taraf Bulati Hai.
Namaz Ishq-e-Khuda Ka Hunar Sikhati Hai.
Namaz Abd Ko Mabood Se Milati Hai.
Namaz Guftgu ALLAH Se Karati Hai.
Yehi Namaz Gunahon Se Bhi Bachati Hai.
Namaz Qabar Talak Sath Sath Jati Hai.

Namaz Woh Hai Jo Faqoon Mein Mustafa Ne Parhi.
Jaga Ke Apne Hi Qatil Ko Murtaza Ne Parhi.
Jo Chakiyon Ki Moshaqqat Mein Fatima Ne Parhi.
Galay Laga Ke Zehar Ko Jo Mujtaba Ne Parhi.
Jo Chahta Hai Keh Azmat Namaz Ki Dekhey.
Mere Hussain Ka Woh Sajdah Aakhri Dekhey.
Parhi Namaz Jo Abid Ne Pusht-e-Naqa Par.
Ada Kiya Jisay Baqir Ne Sakhtiyaan Seh Kar.
Biyaan Kiya Jisay Jafar Ne Bar Sar-e-Mimber.
Raku Mein Barson Rahe Jis Ke Kazim-e Muztar.
Raza Ne Lab Pe Saree Al Raza Saja Ke Parhi.
Taqi Ne Taqwa-e-Abu Talabi Bata Ke Parhi.
Naqi Ne Nakhwat-e-Batil Mita Mita Ke Parhi.
Our Askari Ne Khabar Aakhri Suna Ke Parhi.
Pas-e-Namaz Musallay Pe Ro Raha Hai Koi.
Imam-e-Asar Hai Our Hujjat-e-Khuda Hai Wohi.

Woh Khaima Ga Woh Syedaniyaan Woh Zikar-e-Khuda.
Jahan Musallay Pe Zainab, Rubab Our Fizza.
Hasan Ki Bewah, Ruqaiya, Sakina Ka Sajdah.
Tamam Bibiyaan Karti Thin Sirf Aik Dua.
Mere Khuda Humein Manzoor Qehat-e-Aab Rahe.
Hussain Apne Iradoon Mein Kamyab Rahe.
Sada-e-Tashna Labaan La Ilaha Illallah.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2009-10:

#JahanHussainWahan
#NohayLyrics
#tajpoint

Jahan Hussain Wahan Page 1 Nadeem Sarwar

Jahan Hussain Wahan Page 1 Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2010 Write Up Poster Image

Jahan Hussain Wahan Page 1 Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2010

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!