Yad e Kal Khair Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2010
Yad e Kal Khair Nadeem Sarwar Lyrics
Haye Aseer Qafila Darbar-e-Sham Jab Aaya.
Yazid, Zainab-e-Kubra Se Youn Howa Goya.
Lo Aaj Raaz Wa Tu Izzu Man Tasha Ka Khula.
Keh Ba Waqar Howa Kon, Kaun Hai Ruswa.
Oh Bad Kalam Tehar, Boli Zainab-e-Kubra.
Nashay Mein Mast Hai Aayat Yeh Pori Sab Ko Suna.
Woh Hath Khair Ka Hai Kaun Mujh Ko Yeh Tu Bata.
Keh Jis Se Zillat-o-Tauqeer Bantta Hai Khuda.
Woh Hath Tu Hai Keh Hum Ahl-e-Bait Hain Oss Ke.
Hum Hi Hain Izzat-o-Zillat Ke Bantne Walay.
Yad-e-Kal Khair Bhi Hum Rab-e-Kaba Ki Qasam.
Unhi Hathoon Mein Rasan Sar-e-Darbar-e-Sitam.
Zainabi Lehjay Mein Aawaz-e-Ali Gaunj Uthi.
Zulm Our Jabar Ke Darbar Pe Bijli Si Giri.
Laiq-e-Hamd Hai Jis Ne Humein Izzat Bakhshi.
Sorah Room Se Shehzadi Ne Aayat Yeh Parhi.
Jo Burey They So Bura Unn Ka Hi Anjam Howa.
Jis Ne Quran Ko Jhutlaya Woh Na Kaam Howa.
Kya Kaha Tu Ne Keh Haq Se Humein Ruswai Mili.
Hum Yeh Kehte Hain Humein Izzat-o-Sachai Mili.
Hum Ko Quran Mila Rab Ki Shanasai Mili.
Mere Pyaron Ko Sina Par Bhi Pazirayi Mili.
Ibn-e-Marjana Tere Jabah-o-Dastar Talak.
Karbala Aa Gayi Ab Sham Ke Darbar Talak.
Aye Mere Bhai Ke Qatil Hawas-e-Zar Ke Ghulam.
Inteha Yeh Bhi Hai Main Our Karon Tujh Se Kalam.
Youn Mokhatib Hoon Keh Dil Mein Hai Mere Gham Ki Hasaam.
Mujh Ko Dena Hai Hussain Ibn-e-Ali Ka Paigham.
Kar Ke Tazheek-e-Nabi Tujh Ko Maza Aata Hai.
Inteqam-e-Ohad-o-Badar Pe Itrata Hai.
Aye Yazid Sitami Jaag Bohat Shad Hai Tu.
Qaid Kar Ke Humein Samjha Hai Keh Aazad Hai Tu.
Yeh Teri Kham Khiyali Hai Keh Aabad Hai Tu.
Nasal Dar Nasal Sada Ke Liye Barbad Hai Tu.
Faisla Rab Ka Hai Mohlat Hai Sanbhal Jane Ki.
Dheel Di Jati Hai Zalim Ko Sanbhal Jane Ki.
Aaj Kis Zoam Mein Ashraf Ka Khoon Peeta Hai.
Kaat Ke Bag-e-Risalat Ko Tu Khush Hota Hai.
Cheekhta Phirta Hai Tu Badar Ka Yeh Badlah Hai.
Mujh Ko Hairat Nahi Hinda Hi Ka Tu Beta Hai.
Hoga Maloom Shaqawat Ka Natija Oss Din.
Badlah Yeh Kya Hai, Liya Jaye Ga Badlah Oss Din.
Kar Diya Qatal Humein Tu Ne Galat Socha Hai.
Gausht Apna Hi Chabaya Hai Badan Nocha Hai.
Kya Khabar Tujh Ko Keh Hum Logon Ka Rutba Kya Hai.
Aal-e-Imran Mein ALLAH Ka Yeh Wadah Hai.
Shuhda Sorat-e-Quran Sada Zindah Hain.
Woh Tu Woh Inn Ke Muhiban Sada Zindah Hain.
Mehway Hairat Hoon Jinhein Rab Ne Sar Afraz Kiya.
Ilm-e-Quran Diya Our Yad-e-Kal Khair Kaha.
Aah Unn Bag-e-Risalat Ke Gullon Ko Masla.
Aasteeno Se Tumhari Hai Lahu Unn Ka Baha.
Pak-o-Pakeeza Banaye They Jo Khud Rab Ne Badan.
Aaj Sehra Mein Paray Hain Wohi Be Goro Kafan.
Aazma Le Sitami Zaad Sitam Ke Harbay.
Dekh Baqi Tere Dil Mein Koi Hasrat Na Rahe.
Reh Gaya Ho Jo Sitam Koi Tu Woh Bhi Kar Le.
Jeet Kar Haar Gayi Teri Hakomat Hum Se.
Fikar-e-Shabeer Tu Phailay Gi Muhammad Ki Qasam.
Yeh Tere Bas Mein Nahi Malik-o-Mukhtar Hain Hum.
Hafiz-e-Nehj-e-Balaga Ka Tha Woh Roab-o-Jalal.
Maut Ki Khamoshi Jaisa Howa Darbar Ka Haal.
Jaag Uthi Bibiyaan Jo Gham Se Musalsal Thin Nidhal.
Bharay Darbar Se Mazloom Khatiba Ka Sawal.
Kalma Jis Ka Parha Oss Ka Jigar Kaat Liya.
Apne Mohsin Ke Nawasay Hi Ka Sar Kaat Liya.
Tum They Nu Lakh Darinday Woh Bahatar Insaan.
Unn Bahatar Mein Bhi Asghar Sa Tha Ik Tashna Dahan.
Aisay Masoom Qasam Khata Hai Jin Ki Quraan.
Haye Unn Pyason Ke Halqoom Pe Khanjar Tha Rawaan.
Tum Yeh Kehte Ho Paye Jang Hussain Aaya Tha.
Betiyon Behno Ko Phir Sath Mein Kyun Laya Tha.
Aye Yazid Aaj Na Kyun Tujh Pe Falak Toot Paray.
Tu Ne Woh Zulm Kiye Jis Se Muhammad Roye.
Haye Namoos-e-Nabi Kocha-o-Bazar Phiray.
Dar-o-Dewar Sajay Kothoon Se Pathar Barsay.
Shamiyon Hum Pe Niya Ab Yeh Ghazab Kartay Ho.
Choti Zahra Ko Kaneezi Mein Talab Kartay Ho.
Khatam Taqreer Hoi Mehshar-e-Khamosh Utha.
Ya Ali Aap Ki Beti Ka Ajab Khutba Tha.
Murdah Darbar Pe Chayi Thi Khatiba Ki Sada.
Bich Gayi :SARWAR-o-REHAN: Wahan Farsh-e-Azza.
Bhai Ke Sar Pe Nazar Zainab-e-Kubra Ki Pari.
Jhuk Gayi Bali Sakina Pe Ali Ki Beti.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2009-10:
#YadeKalKhair
#NohayLyrics
#tajpoint