Kabhi Aey Haqiqat-e-Muntazir Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کبھی اے حقیقتِ منتظر نظر آ لباسِ مجاز مِیں
Ke Hazaron Sajde Tarap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein.
Tarb Ashnaye Kharosh Ho, Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho.
Woh Surood Kya Ke Chupa Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein.
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh Aaeena.
Ke Shikasta Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein.
Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan.
Na Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein.
Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili.
Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein.
Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen Shaukhiyan.
Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na wo Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein.
Jo Main Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada.
Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein.
Poet: :Allama Dr Muhammad Iqbal:
#KalameIqbal
#DuaLyrics
#AllamaDrMuhammadIqbal
#KabhiAyeHaqiqateMuntazir
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com