Kamal-e-Ishq Ki Mairaj Youn Nibhate Hain Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کمالِ عشق کی معراج یوں نبھاتے ہیں
Hussain Zeen Se Soye Zameen Aate Hain.
Tarap Rahi Hai Zameen Behar-o-Bar Pe Larza Hai.
Kul Anbiya Ke Labon Par Saday-e-Giriay Hai.
Malaika Sar-e-Iflak Khak Orate Hain.
Bas Ab Qareeb Hai Wo Waqt Sham Hoti Hai.
Hai Kuch Dair Teri Zehmat Tamam Hoti Hai.
Yeh Rahwar Ke Kano Mein Kehte Jate Hain.
Nazar Utha Ke Jo Maqtal Ko Dekhte Hain Imam.
Kahan Wo Halqa-e-Ahbab Our Kahan Yeh Muqam.
The Kaise Kaise Dilawar Jo Yad Aate Hain.
Qareeb-e-Khaima Behan Dekhti Hai Thame Jigar.
Hussain Pe Jo Baraste Hai Teer Aur Tabar.
Laeen Oss Ke Kalejay Pe Hashar Dhate Hain.
Hazar Teer Hain Seene Mein Ja Ba-Ja Paiwast.
Aday-e-Sajda-e-Aakhir Mein Hai Bani Diqat.
Badan Mein Apne Hi Teeron Ko Sheh Dhansate Hain.
Hai Kis Shaqi Mein Yeh Himat Rizay-e-Sheh Ke Bina.
Ali Ke Lal Ke Sar Kare Badan Se Juda.
Magar WO Jurat-e-Qatil Ko Aazmate Hain.
Hai Bandagi Ko Bhi Hairat Ye Dekh Ke Manzar.
Udhar Jo Shimar Chalata Hai Taig Gardan Par.
Idhar Yeh Shukar-e-Khudawand Lab Pe Late Hain.
Gawah Hai Nahiya Ke :ZAIDI: Haye Wo Jumle.
Imam-e-Asar Tarapte Hain Shah Ke Gham Mein.
Ye Waqt soch Ke Wo Ashk-e-Khoon Bahate Hain.
Poet: :Arslan Zaidi:
#KamaleIshq
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com