Woh Ba-Kamal Hai Woh Be-Misal Hai 1 8 Lyrics In Urdu 2009
Woh Ba-Kamal Hai Woh Be-Misal Hai 1 8.
Jo Phool Fatima Ka Woh La-Zawaal Hai.
Palay Hain Khon Se Abu Talib Ne Chand Phol.
Ik In Mein Hai Imam Tu Hai Dosra Rasool.
Ik Asal-e-Deen Dosra Hai Deen Ka Usool.
Jo Inka Hai Khiyal Khuda Ka Khiyal Hai.
Awwal Imam Ali Hai Imamat Ka Tajdar.
Imran Ke Chaman Mein Jo Laya Nayi Bahar.
Jis Ko Atta Ki Khaliq-e-Akbar Ne Zulfiqar.
Jiska Wajood Deen-e-Muhammad Ki Dhaal Hai.
Baad-e-Ali Hasan Hai Risalat Ka Aina.
Tora Hia Jis Ne Takht-o-Hakomat Ka Aina.
Hai Ho-Bahu Rasool Ki Seerat Ka Aina.
Kata Qalam Se Jis Ne Burai Ka Jaal Hai.
Paida Hoye Hussain Alaihis Salam Jab.
Jibreel Dar Pe Aaye Salami Ko Ba-Adab.
Bolay Piyam Deta Hai Dono Jahan Ka Rab.
Hum Ko Pasand Dil Se Yeh Zahra Ka Lal Hai.
Ik Phool Fatima Ka Ibadat Ka Zaib-o-Zain.
Zain-ul-Iba Woh Abid-o-Sajid Dil-e-Hussain.
Sajday Ko Jiske Pyar Kare Rab-e-Mashraqain.
Khutbon Mein Jiske Tamkanat-e-Zoljilal Hai.
Baqir Bhi Aik Phol Hai Sehan-e-Batool Ka.
Jiski Ragoon Mein Khoon Ali Our Rasool Ka.
Mushkil Kusha Jahan Mein Woh Har Dil Malol Ka.
Nasal-e-Abu Jehal Ka Issi Se Qattaal Hai.
Ik Sadiq-ul-Khiyal Hai Woh Sadiq Al-Wajood.
Jafar Hai Jafri Ke Shajar Ki Hai Woh Namood.
Maqbool Bargah-e-Khuda Jiske Hai Sajood.
Iski Faqar Ke Tabay Muhammad Ki Aal Hai.
Ik Lal Inka Mosi-e-Kazim Falak Asas.
Jiske Badan Pe Jad Ki Shariyat Ka Hai Libas.
Ilm-e-Nabi Ki Sari Fiza Iss Ke Aas Pas.
Jad Ki Tarha Se Deen-e-Nabi Ki Woh Dhaal Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Manqabat Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Manqabat Volume: :Nadeem Sarwar 2009: