Qasim Kamal e Khaliq e Akbar Ka Naam Hai Lyrics Urdu 2025
Qasim Kamal e Khaliq e Akbar Ka Naam Hai.
Qasim Jamal-o-Husan-e-Payamber Ka Naam Hai.
Qasim Jalal-o-Haibat e Haider Ka Naam Hai.
Qasim Misal e Sirat e Shabbar Ka Naam Hai.
Qasim Namaz-e-Ishq e Hussain-e-Wali Howa.
Abbas-e-Bawafa Ki Tarha Yeh Ali Howa.
Maula Hasan Ki Khas Duaon Ka Hai Samar.
Farwa Ki Ummar Bhar Ka Asasa-o-Lal-o-Zar.
Taqat Abu Turab Ki Abbas Ka Asar.
Shabbir Ke Har Aik Iraday Se Ba Khabar.
Kam Sin Ne Jaisay Samjhi Hai Gayat Hussain Ki.
Aisay Karey Ga Kaun Himayat Hussain Ki.
Qasim Woh Zaat Hai Jo Kamal-e-Khudai Hai.
Aizaz Yeh Bhi Hai Keh Yeh Akbar Ka Bhai Hai.
Sorat Khuda Ne Dono Ki Aisi Banai Hai.
Woh Shakal-e-Mustafa Hai Yeh Noor-e-Khudai Hai.
Pala Hai Jis Ko Badshah-e-Mashraqain Ne.
Sikhlaye Toor e Taig Jissay Khud Hussain Ne.
Qasim Shabeeh e Husan-o-Jamal-e-Khuda Ho Tum.
Tum Bazoye Abbas Ho, Mushkil Kusha Ho Tum.
Haibat Mein Misal e Sani-e-Shair-e-Khuda Ho Tum.
Iss Foaj-e-Bad Nasab Ko Bata Do Keh Kya Ho Tum.
Hamla Karo Keh Sorat e Batil Bigar Do.
Dasht-e-Wiga Mein Arzaq e Shami Ko Gaarh Do.
Aaya Jo Ran Mein Quwat e Karrar Ka Nishaan.
Kanpi Zameen Hilne Lagay Saton Aasmaan.
Woh Ghaiz Woh Junoon e Adawat Keh Al-Amaan.
Aisi Chalai Taig Nikali Addo Ki Jaan.
Kar Ke Tabah, Lashkar-e-Batil Ujaar Ke.
Tukray Howa Hussain Ke Dushman Pachar Ke.
Zeen Se Gira Zameen Pe Haye Hasan Ka Lal.
Ik Shoor Howa Zindah Na Jaye Hasan Ka Lal.
Ammo Ko Apne Kaisay Bulaye Hasan Ka Lal.
Ronda Gaya Zameen Pe Haye Hasan Ka Lal.
Foaj-e-Jafa Idhar Ki Udhar Dorti Rahi.
Har Ik Azoye Jism e Jawaan Torti Rahi.
Terah Baras Ke Sheer Ka Lasha Bikhar Gaya.
Farzand e Mujtaba Ka Janaza Bikhar Gaya.
Farwa Ki Ummar Bhar Ka Asasa Bikhar Gaya.
Haye Woh Teen Roz Ka Pyasa Bikhar Gaya.
:AHMAD: Jawaan Ke Tukray Utha Kar Hussain Ne.
Giriya Kiya Youn Dasht Mein Ja Kar Hussain Ne
Poet: :Ahmad Timsaal:
#ShehzadaeQasim
#SalamLyrics
#tajpoint