Suno Suno Qamber Ki Our Fizza Ki Guftgu Suno 7-10 Lyrics In Urud
Suno Suno Qamber Ki Our Fizza Ki Write Up In Urdu
Fizza Yeh Boli Dekh Hai Ismat Ka Main Ne Noor.
Khair-ul-Nisa Ke Faiz Se Hasil Hai Yeh Gharor.
Mariyam Se Bhar Ke Bakhsha Giya Hai Mujhe Shaoor.
Mujh Se Rakha Ha Fatima Zahra Ne Rijs Se Door.
Khilqat Se Waqif-e-Khidmad-e-Bint-e-Rasool(SAWW) Hoon.
Sadqa Hai Yeh Batool Ka Main Bhi Batool Hoon.
Qamber Yeh Bola Manne Wala Hoon Wasal Ka.
Qaiyal Hoon Dil Se Main Bhi Bila Fasal Wasal Ka.
Seekha Hai Ba Ke Nuqte Se Har Nuqta Aqal Ka.
Mujh Ko Mila Hai Dars Imamat Se Adal Ka.
Sani Nahi Hai Koi Mera Khas-o-Aam Mein.
Mula Ne Mera Hath Bataya hai Kam Mein.
Fizza Yeh Boli Haan Yeh Ali Ka Usool Hai.
Yeh Bhi Soch Meri Mudaris Batool Hai.
Jis Ke Sabab Shariaton Ka Arz-o-Tool Hai.
Ahsaan Kisi Ka Fatima Ko Kab Qabool Hai.
Bint-e-Nabi(SAWW) Se Main Ne Masawaat Seekhi Hai.
Khud Fatim Ne Chaki Mere Sath Peesi Hai.
:AKBAR: Qalam Ko Rook Le Mushkil Hai Faisla.
Is Dar Ki Nokari Ka Sharaf Hai Bohat Bara.
Kitni Fazeelaton Ka Hai Manzar Yeh Martaba.
Yeh Khadam-e-Ali Hain Tu Wo Zahra Ki Khadima.
Dono Ki Baat Apni Jaga Lajawab Hai.
In Ki Koi Misal Na Un Ka Jawab Hai.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2010-11:
#QamberKiFizzaKiGuftgu
#ManqabatLyrics
#tajpoint