Teri Aankh Ko Aazmana Para Lyrics In Urdu 2017
Teri Aankh Ko Aazmana Para.
Mujhe Qisa-e-Gham SUnana Para.
Gham-e-Zindagi Teri Khatir Humein.
Sar-e-Waar Bhi Muskurana Para.
Hawadas Ki Shab Itni Tareek Thi.
Jawani Ko Sagar Uthana Para.
Mere Dushman-e-Jaan Tere Waste.
Kayi Doston Ko Bholana Para.
Zamane Ki Raftaar Ko Dekh Kar.
Qiyamat Pe Emaan Lana Para.
Jinhein Dekhna Bhi Na Chahe Nazar.
Unhin Se Taluk Barhana Para.
Kayi Saanp The Qimti Iss Qadar.
Unhein Aasteen Mein Chupana Para.
Hawaon Ke Tewar Jo Buham Howay.
Cheragon Ko Khud Jhilmilana Para.
Poet: :Mohsin Naqvi Shaheed:
#TeriAankh
#GhazalLyrics
#tajpoint
