Veeran Gharon Ki Veerani Zainab Ko Lyrics 2008

Veeran Gharon Ki Veerani Zainab Ko Lyrics In Urdu 2008

Veeran Gharon Ki Veerani Zainab Ko Our Rolaye

Chalees Gharon Mein Ja Ja Kar Kis Kis Ka Soag Manaye.

Ik Aangan Mein Um-e-Salma(SA) Sughra(SA) Ke Aanso Ponche.
Dill Par Apne Pathar Rakh Kar Bibi(SA) Se Aa Kar Bole.
Sughra(SA) Uth Ja In Raston Se Ab Koi Nahi Jo Aye.

Ik Aangan Mein Asghar(AS) Ke Liye Jalti Hai Dhoop Mein Dukhiya.
Ghar Bhar Ki Nazar Hai Soraj Par Kab Waqt Gharob Ka Ho Ga.
Our Madar Ko Ye Fikar Hai Keh Ye Soraj Doob Na Jaye.

Ik Aangan Mein Bimar Pisar Aankhon Se Khon Bahaye.
Bazaron Ka Har Ik Manzar Ashkon Mein Dhalta Jaye.
Sajjad(AS) Bohat Sabir Hai Magar Ab Kitna Sabar Dikhaye.

Ik Aangan Mein Fiza(SA) Bethi Har Lamha Yehi Soche.
Ja Kar Zahra(SA) Ki Turbat Par Kya Baat Kaneez Ye Bole.
Kaise Zainab(SA) Darbar Gayi Kya Zahra(SA) Ko Batlaye.

Ik Aangan Mein Bethi Hai Maa Yaseen Ka Sorah Khole.
Wo Zikar-e-Nabi(SAWW) Ke Lafzon Mein Humshakal-e-Nabi(AS) Ko Dhonde.
Roze Pe Nabi(SAWW) Ke Aa Jaye Jab Yaad Akbar(AS) Ki Aye.

Ik Aangan Mein Abdullah Our Zainab(SA) Baithe Hai Tanha.
Wo Aoun-o-Muhammad(AS) Ke Gham Mein Ik Dosre Ko Dein Pursa.
De Daad Pidar Har Hamle Par Jab Madar Jang Sonaye.

Kal Tak :AKBAR: Ik Zahra(SA) Thin Jo Bain Kiya Karti Thin.
Baba Ki Judai Ke Gham Mein Wo Aahein Bhara Karti Thin.
Our Aaj Bani Hashim Ke Makaan Sab Bait-ul-Huzan Hain Haye.

Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2008-09:

#NohayLyrics
#tajpoint

Write Up Veeran Gharon Ki Veerani Zainab Ko Lyrics In Urdu 2008 Poster Image

Veeran Gharon Ki Veerani Zainab Ko Lyrics In Urdu 2008

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!