Likh Qalam Sani e Zahra 1-4 Lyrics in Urud 2016
Likh Qalam Sani e Zahra Ki Sana Bismillah
Wahi-o-Ilham Ko Tehreer Mila Bismillah.
Ba Ke Nuqtay Se Har Ik Nuqta Mila Bismillah.
Aaj Yeh Raaz Zamane Ko Bata Bismillah.
Ilm-e-Haider(AS) Ka Khulasa Hai Ali(AS) Ki Beti.
Dosri Nehj-e-Balagah Hai Ali(AS) Ki Beti.
Aal-e-Zahra(SA) Ke Liye Sani-e-Zahra(SA) Zainab(SA).
Iss Liye Zaat-e-Ilahi Ne Yeh Chaha Zainab(SA).
Mustaqil Ho Teri Chokhat Pe Ujala Zainab(SA).
Teri Khatir Ho Naye Rang Ka Zuhra Zainab(SA).
Bani Hashim Ka Qamar Ban Ke Sitarah Aa Jaye.
Teri Dehleez Pe Ghazi(AS) Ko Utara Jaye.
Jin Ki Nalain Ke Qosain Bhi Muhtaj Mile.
Woh Nabi(SAWW) Our Ali(AS) Barsar-e-Mairat Mile.
Tohfe Allah Se Do Kal Ke Liye Aaj Mile.
Dono Masoomo Ko Ismat Ke Naye Taj Mile.
Shab-e-Mairaj Yeh Taqseem Khuda Ne Ki Hai.
Fatima(SA) Aik Ko Di Aik Ko Zainab(SA) Di Hai.
Mah-e-Shaban-e-Yakam Our Woh Noor-e-Zainab(SA).
Kaba-e-Hazrat-e-Zahra(SA) Mein Zahoor-e-Zainab(SA).
Panjtan(AS) Hain Issi Khuwaish Mein Hazoor-e-Zainab(SA).
Meri Aagosh Ho Gehwara-e-Toor-e-Zainab(SA).
Oss Ki Marzi Hai Magar Oss Ko Uthaye Shabir(AS).
Sab Se Pehle Mujhe Seene Se Lagaye Shabir(AS).
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2016-17: