Likh Qalam Sani e Zahra 5-8 Lyrics in Urdu 2016
Likh Qalam Sani e Zahra Write Up
Zulmat-e-Sham Ki Tardeed Hai Pehli Shaban.
Teen Shaban Ki Tamheed Hai Pehli Shaban.
Chodah Masoomo Ki Umeed Hai Pehli Shaban.
Sari Eidoon Ke Liye Eid Hai Pehli Shaban.
Arsh Se Ban Ke Wilayat Ki Safeer Ayi Hai.
Lailatulqadr Ke Ghar Eid-e-Ghadeer Ayi Hai.
To Ne Usskut Jo Kaha Ho Gaye Aada Khamosh.
Sirf Aada Hi Nahi Ho Giya Kofa Khamosh.
Sirf Kofa Hi Nahi Ho Gayi Dunya Khamosh.
Sirf Dunya Hi Nahi Khuda Tha Khamosh.
Aisa Lehjay Ka Asar Tha Keh Zamana Chup Tha.
Teri Tazeem Mein Khud Tera Gharan Chup Tha.
Pal Mein Saqit Bhare Bazar Ki Hal Chal Kar Di.
Aik Hi Baat Mein Har Baat Mukamil Kar Di.
Waqt Par Waqt Ki Dehleez Muqafil Kar Di.
Din Ko Mazool Kiya Raat Moatil Kar Di.
Khof Mein Dobe Howay Dil Woh Ubharne Na Diye.
Sans Bhi Rook Diye Loag Bhi Marne Na Diye.
Qafila Farsh-e-Azza Ka Yeh Chali Hai Le Kar.
Chodah Sadiyon Se Khatab Iss Ka Hai Jari Ghar Ghar.
Tazia Jhola Alam Aanso Hai Iss Ka Lashkar.
Kon Roke Ga Bhala Shah Ka Matam :AKBAR:.
Karbala Ka Jo Har Ik Sahib-e-Dil Qayal Hai.
Iss Ki Tableeg Mein Zainab(SA) Ka Laho Shamil Hai.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2016-17: